tujh mein pada hua hoon harkat nahin hai mujh mein | तुझ में पड़ा हुआ हूँ हरकत नहीं है मुझ में - Jaun Elia

tujh mein pada hua hoon harkat nahin hai mujh mein
haalat na poochiyo tu haalat nahin hai mujh mein

ab to nazar mein aa ja baanhon ke ghar mein aa ja
ai jaan teri koi soorat nahin hai mujh mein

ai rang rang mein aa aaghosh-e-tang mein aa
baatein hi rang ki hain rangat nahin hai mujh mein

apne mein hi kisi ki ho roo-b-rooi mujh ko
hoon khud se roo-b-roo hoon himmat nahin hai mujh mein

ab to simat ke aa ja aur rooh mein samaa ja
vaise kisi ki pyaare wusa'at nahin hai mujh mein

sheeshe ke is taraf se main sab ko tak raha hoon
marne ki bhi kisi ko furqat nahin hai mujh mein

tum mujh ko apne ram mein le jaao saath apne
apne se ai ghazaalo vehshat nahin hai mujh mein

तुझ में पड़ा हुआ हूँ हरकत नहीं है मुझ में
हालत न पूछियो तू हालत नहीं है मुझ में

अब तो नज़र में आ जा बाँहों के घर में आ जा
ऐ जान तेरी कोई सूरत नहीं है मुझ में

ऐ रंग रंग में आ आग़ोश-ए-तंग में आ
बातें ही रंग की हैं रंगत नहीं है मुझ में

अपने में ही किसी की हो रू-ब-रूई मुझ को
हूँ ख़ुद से रू-ब-रू हूँ हिम्मत नहीं है मुझ में

अब तो सिमट के आ जा और रूह में समा जा
वैसे किसी की प्यारे वुसअ'त नहीं है मुझ में

शीशे के इस तरफ़ से मैं सब को तक रहा हूँ
मरने की भी किसी को फ़ुर्सत नहीं है मुझ में

तुम मुझ को अपने रम में ले जाओ साथ अपने
अपने से ऐ ग़ज़ालो वहशत नहीं है मुझ में

- Jaun Elia
17 Likes

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaun Elia

As you were reading Shayari by Jaun Elia

Similar Writers

our suggestion based on Jaun Elia

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari