"kaayenaat ek azeem sadaqat hai" | "काएनात एक अज़ीम सदाक़त है"

  - Javed Nadeem

"kaayenaat ek azeem sadaqat hai"

kaayenaat ek azeem sadaqat hai
saraapa magar tah-dar-tah sadaqat
kaayenaat ki ye sadaqatein
aadmi par b-tadreej zaahir hoti hain
ki aadmi sadaqat-e-kaamila ke idraak ka b-yak-waqt mutahammil nahin
ek sadaqat ke ba'ad doosri ka irfaan pehli ko baatil nahin karta
din ka ujaala raat ke andhere ka munkir nahin hai
patjhad ki be-raunaki aane waale mausam ki shaadaabi ka muzda hai
maut hamesha hi zindagi ki hum-safar rahi hai
kaash
ham is nukte ko samajh sakte

"काएनात एक अज़ीम सदाक़त है"

काएनात एक अज़ीम सदाक़त है
सरापा मगर तह-दर-तह सदाक़त
काएनात की ये सदाक़तें
आदमी पर ब-तदरीज ज़ाहिर होती हैं
कि आदमी सदाक़त-ए-कामिला के इदराक का ब-यक-वक़्त मुतहम्मिल नहीं
एक सदाक़त के बा'द दूसरी का इरफ़ान पहली को बातिल नहीं करता
दिन का उजाला रात के अंधेरे का मुनकिर नहीं है
पतझड़ की बे-रौनक़ी आने वाले मौसम की शादाबी का मुज़्दा है
मौत हमेशा ही ज़िंदगी की हम-सफ़र रही है
काश
हम इस नुक्ते को समझ सकते

  - Javed Nadeem

Khudkushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Nadeem

As you were reading Shayari by Javed Nadeem

Similar Writers

our suggestion based on Javed Nadeem

Similar Moods

As you were reading Khudkushi Shayari Shayari