majbooriyon ke daur mein rishte badal gaye
aansu vo teri aankh ke chaale badal gaye
sabne milaaye haath the chaanwon ke daur mein
sar pe padi jo dhoop to saaye badal gaye
kaise khulengi baap ke karje ki beriyaan
laagi hawa jo shehar ki bete badal gaye
main jeetne ki or tha aisa hua magar
fenke jo maine khel mein paase badal gaye
मजबूरियों के दौर में रिश्ते बदल गए
आँसू वो तेरी आँख के छाले बदल गए
सबने मिलाए हाथ थे छाँओं के दौर में
सर पे पड़ी जो धूप तो साए बदल गए
कैसे खुलेंगी बाप के कर्जे की बेड़ियाँ
लागी हवा जो शहर की बेटे बदल गए
मैं जीतने की ओर था ऐसा हुआ मगर
फेंके जो मैंने खेल में पासे बदल गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jitendra "jeet"
our suggestion based on Jitendra "jeet"
As you were reading Pollution Shayari Shayari