ai sham-e-'josh o mash'al-e-aivaan-e-aarzoo | ऐ शम-ए-'जोश' ओ मशअ'ल-ए-ऐवान-ए-आरज़ू

  - Josh Malihabadi

ai sham-e-'josh o mash'al-e-aivaan-e-aarzoo
ai mehr-e-naaz o maah-e-shabistaan-e-aarzoo
ai jaan-e-dard-mandi o eemaan-e-aarzoo
ai sham-e-toor o yusuf-e-kan'aa'n-e-aarzoo
zarre ko aftaab to kaante ko phool kar
ai rooh-e-she'r sajda-e-shaa'ir qubool kar

dariya ka mod naghma-e-sheereen ka zer-o-bam
chadar shab-e-nujoom ki shabnam ka rakht-e-nam
titli ka naaz-e-raks ghazala ka husn-e-ram
moti ki aab gul ki mahak maah-e-nau ka kham
in sab ke imtizaaj se paida hui hai tu
kitne haseen ufuq se huwaida hui hai tu

hota hai mah-vasho_n ka vo aalam tire huzoor
jaise charaagh-e-murda sar-e-bazm-e-sham-e-toor
aa kar tiri janab mein ai kaar-saaz-e-noor
palkon mein munh chhupaate hain jhenpe hue ghuroor
aati hai ek lehar si chehron par aah ki
aankhon mein chhoot jaati hain nabzein nigaah ki

raftaar hai ki chaandni raaton mein mauj-e-gang
ya bhairaveen ki pichhle pahar qalb mein umang
ye kaakulon ki taab hai ye aarizon ka rang
jis tarah jhutpute mein shab-o-roz ki tarang
roo-e-mubeen na gesoo-e-sumbul-qawaam hai
vo brahman ki subh ye saaqi ki shaam hai

awaaz mein ye ras ye lataafat ye iztiraar
jaise subuk maheen ravaan reshmi fuwaar
lehje mein ye khatk hai ki hai neshtar ki dhaar
aur gir raha hai dhaar se shabnam ka aabshaar
chahki jo tu chaman mein hawaaein mahak gaeein
gul-barg-e-tar se os ki boonden tapak gaeein

jaadu hai teri saut ka gul par hazaar par
jaise naseem-e-subh ki rau joo-e-baar par
nakhun kisi nigaar ka chaandi ke taar par
mizraab-e-aks-e-qaus rag-e-aabshaar par
maujen saba ki baagh pe sahaba chhidak gaeein
jumbish hui labon ko to kaliyaan chatk gaeein

chashm-e-siyaah mein vo talaatum hai noor ka
jaise sharaab-e-naab mein jauhar suroor ka
ya chahchahon ke waqt tamvuj tuyoor ka
baandhe hue nishaana koi jaise door ka
har mauj-e-rang-e-qamat-e-gulrez ram mein hai
goya sharaab-e-tund bilorin qalam mein hai

tujh se nazar milaaye ye kis ki bhala majaal
tere qadam ka naqsh haseenon ke khadd-o-khaal
allah re tere husn-e-malak-soz ka jalaal
jab dekhti hain khuld se hooren tira jamaal
partav se tere chehraa-e-parveen-sarishta ke
ghabra ke band karti hain gurfe behisht ke

chehre ko rang-o-noor ka toofaan kiye hue
sham-o-sharaab-o-she'r ka unwaan kiye hue
har naqsh-e-paa ko taaj-e-gulistaan kiye hue
sau toor ik nigaah mein pinhaan kiye hue
aati hai tu chaman mein jab is tarz-o-taur se
gul dekhte hain baagh mein bulbul ko ghaur se

mere bayaan mein seher-bayaani tujhi se hai
roo-e-sukhan pe khoon-e-jawaani tujhi se hai
lafzon mein raks-o-rang-o-ravaani tujhi se hai
faqr-e-gadaa mein farr-e-kiyaani tujhi se hai
fidvi ke is urooj pe karti hai ghaur kya
teri hi jootiyon ka tasadduq hai aur kya

ai kirdagaar-e-maa'ni o khallaq-e-sheer-e-tar
ai jaan-e-zauq o muhsinaa-e-laili-e-hunar
khul jaaye gar ye baat ki urdu zabaan par
teri nigaah-e-naaz ka ehsaan hai kis qadar
chaaron taraf se naara-e-salle-ala uthe
tere mujassamon se zameen jagmaga uthe

mere hunar mein sarf hui hai tiri nazar
khema hai mere naam ka baala-e-bahr-o-bar
shohrat ki bazm tujh se munavvar nahin magar
farq-e-gada pe taaj hai sultaan barhana-sar
parwaane ko vo kaun hai jo maanta nahin
aur sham'a kis taraf hai koi jaanta nahin

dil teri bazm-e-naaz mein jab se hai baaryaab
har khaar ek gul hai to har zarra aftaab
ik lashkar-e-nashaat hai har gham ke ham-rikaab
zer-e-nageen hai aalam-e-tamkeen-o-iztiraab
baad-e-muraad o chashmak-e-toofaan liye hue
hoon boo-e-zulf-o-jumbish-e-mizgaan liye hue

tere labon se chashma-e-haivaan mera kalaam
teri latton se mauja-e-toofaan mera kalaam
teri nazar se toor-b-daamaan mera kalaam
tere sukhun se naghma-e-yazdaan mera kalaam
tu hai payaam-e-aalam-e-baala mere liye
ik wahee-e-zee-hayaat hai goya mere liye

ai maah-e-sheer-parvar o mehr-e-sukhan-vari
ai aab-o-rang-e-haafiz o ai husn-e-anvari
tu ne hi sabt ki hai b-sad naaz-e-daavari
mere sukhun ki pusht pe mohr-e-payambari
teri shameem-e-zulf ki daulat liye hue
mera nafs hai boo-e-risaalat liye hue

dur-ha-e-aab-daar o sharar-ha-e-dil-nasheen
shab-ha-e-talkh-o-tursh o sahar-ha-e-shakkari
aql-e-nashaat-khez o junoon-e-gham-aafarin
daulat vo kaun hai jo meri jeb mein nahin
takraai jab bhi mujh se khajil sarvari hui
yun hai tire faqeer ki jholi bhari hui

nagme pale hain daulat-e-guftaar se tiri
paaya hai nutq chashm-e-sukhan-baar se tiri
taqat hai dil mein nargis-e-beemaar se tiri
kya kya mila hai josh ko sarkaar se tiri
baanke khayal hain kham-e-gardan liye hue
har she'r ki kalaaee hai kangan liye hue

ai lailee-e-nahufta o ai husn-e-sharmagin
tujh par nisaar daulat-e-duniya mata-e-deen
mansoob mujh se hai jo b-andaaz-e-dil-nasheen
teri vo shaay'ri hai meri shaay'ri nahin
aawaaza charkh par hai jo is dard-mand ka
goya vo aks hai tire qadd-e-buland ka

mere bayaan mein ye jo wafoor-e-suroor hai
taq-e-sukhan-vari mein jo ye sham-e-toor hai
ye jo mere charaagh ki zau door door hai
sarkaar hi ki mauj-e-tabassum ka noor hai
sher'on mein karvatein ye nahin soz-o-saaz ki
lahren hain ye huzoor ki zulf-e-daraaz ki

mujh rind-e-husn-kaar ki may-khwaariyaan na pooch
is khwaab-e-jaan-firoz ki bedaariyaan na pooch
karti hai kyun sharaab khird-baariyaan na pooch
be-hoshion mein kyun hai ye hushyaariyaan na pooch
peeta hoon vo jo zulf ki rangeen ghataon mein
khinchti hai un ghani hui palkon ki chaanv mein

hushyaar is liye hoon ki may-khwaar hoon tira
sayyaad-e-she'r hoon ki girftaar hoon tira
lahja maleeh hai ki namk-khwaar hoon tira
sehhhat zabaan mein hai ki beemaar hoon tira
tere karam se sher-o-adab ka imaam hoon
shahon pe khanda-zan hoon ki tera ghulaam hoon

main vo hoon jis ke gham ne tire dil mein raah ki
ik umr jis ke ishq mein khud tu ne aah ki
soya hai shauq sej pe teri nigaah ki
raatein kati hain saaye mein chashm-e-siyaah ki
kyun kar na shaakh-e-gul ki lachak ho bayaan mein
teri kamar ka loch hai meri zabaan mein

tarshe hue labon ke bahakte khitaab se
zartaar kaakulon ke mehakte sahaab se
sarshaar ankhadiyon ke dahakte shabaab se
mauj-e-nafs ke itr se mukhde ki aab se
baarah baras tapa ke zamaana suhaag ka
seencha hai tu ne baagh mere dil ki aag ka

garmi se jis ki barf ka devta dare vo aag
sholoon mein os ko jo mubaddal kare vo aag
lau se jo zamhareer ka daaman bhare vo aag
had hai jo naam naar-e-saqr par dhare vo aag
jis ki lapat gale mein jalaati hai raag ko
paala hai qalb-e-naaz mein tu ne us aag ko

ऐ शम-ए-'जोश' ओ मशअ'ल-ए-ऐवान-ए-आरज़ू
ऐ मेहर-ए-नाज़ ओ माह-ए-शबिस्तान-ए-आरज़ू
ऐ जान-ए-दर्द-मंदी ओ ईमान-ए-आरज़ू
ऐ शम-ए-तूर ओ यूसुफ़-ए-कनआ'न-ए-आरज़ू
ज़र्रे को आफ़्ताब तो काँटे को फूल कर
ऐ रूह-ए-शे'र सज्दा-ए-शाइ'र क़ुबूल कर

दरिया का मोड़ नग़्मा-ए-शीरीं का ज़ेर-ओ-बम
चादर शब-ए-नुजूम की शबनम का रख़्त-ए-नम
तितली का नाज़-ए-रक़्स ग़ज़ाला का हुस्न-ए-रम
मोती की आब गुल की महक माह-ए-नौ का ख़म
इन सब के इम्तिज़ाज से पैदा हुई है तू
कितने हसीं उफ़ुक़ से हुवैदा हुई है तू

होता है मह-वशों का वो आलम तिरे हुज़ूर
जैसे चराग़-ए-मुर्दा सर-ए-बज़्म-ए-शम-ए-तूर
आ कर तिरी जनाब में ऐ कार-साज़-ए-नूर
पलकों में मुँह छुपाते हैं झेंपे हुए ग़ुरूर
आती है एक लहर सी चेहरों पर आह की
आँखों में छूट जाती हैं नब्ज़ें निगाह की

रफ़्तार है कि चाँदनी रातों में मौज-ए-गंग
या भैरवीं की पिछले पहर क़ल्ब में उमंग
ये काकुलों की ताब है ये आरिज़ों का रंग
जिस तरह झुटपुटे में शब-ओ-रोज़ की तरंग
रू-ए-मुबीं न गेसू-ए-सुम्बुल-क़वाम है
वो बरहमन की सुब्ह ये साक़ी की शाम है

आवाज़ में ये रस ये लताफ़त ये इज़्तिरार
जैसे सुबुक महीन रवाँ रेशमी फुवार
लहजे में ये खटक है कि है नेश्तर की धार
और गिर रहा है धार से शबनम का आबशार
चहकी जो तू चमन में हवाएँ महक गईं
गुल-बर्ग-ए-तर से ओस की बूँदें टपक गईं

जादू है तेरी सौत का गुल पर हज़ार पर
जैसे नसीम-ए-सुब्ह की रौ जू-ए-बार पर
नाख़ुन किसी निगार का चाँदी के तार पर
मिज़राब-ए-अक्स-ए-क़ौस रग-ए-आबशार पर
मौजें सबा की बाग़ पे सहबा छिड़क गईं
जुम्बिश हुई लबों को तो कलियाँ चटक गईं

चश्म-ए-सियाह में वो तलातुम है नूर का
जैसे शराब-ए-नाब में जौहर सुरूर का
या चहचहों के वक़्त तमव्वुज तुयूर का
बाँधे हुए निशाना कोई जैसे दूर का
हर मौज-ए-रंग-ए-क़ामत-ए-गुलरेज़ रम में है
गोया शराब-ए-तुंद बिलोरीं क़लम में है

तुझ से नज़र मिलाए ये किस की भला मजाल
तेरे क़दम का नक़्श हसीनों के ख़द्द-ओ-ख़ाल
अल्लाह रे तेरे हुस्न-ए-मलक-सोज़ का जलाल
जब देखती हैं ख़ुल्द से हूरें तिरा जमाल
परतव से तेरे चेहरा-ए-पर्वीं-सरिश्त के
घबरा के बंद करती हैं ग़ुर्फ़े बहिश्त के

चेहरे को रंग-ओ-नूर का तूफ़ाँ किए हुए
शम-ओ-शराब-ओ-शे'र का उनवाँ किए हुए
हर नक़्श-ए-पा को ताज-ए-गुलिस्ताँ किए हुए
सौ तूर इक निगाह में पिन्हाँ किए हुए
आती है तू चमन में जब इस तर्ज़-ओ-तौर से
गुल देखते हैं बाग़ में बुलबुल को ग़ौर से

मेरे बयाँ में सेहर-बयानी तुझी से है
रू-ए-सुख़न पे ख़ून-ए-जवानी तुझी से है
लफ़्ज़ों में रक़्स-ओ-रंग-ओ-रवानी तुझी से है
फ़क़्र-ए-गदा में फ़र्र-ए-कियानी तुझी से है
फ़िदवी के इस उरूज पे करती है ग़ौर क्या
तेरी ही जूतियों का तसद्दुक़ है और क्या

ऐ किर्दगार-ए-मा'नी ओ ख़ल्लाक़-ए-शेर-ए-तर
ऐ जान-ए-ज़ौक़ ओ मुहसिना-ए-लैली-ए-हुनर
खुल जाए गर ये बात कि उर्दू ज़बान पर
तेरी निगाह-ए-नाज़ का एहसाँ है किस क़दर
चारों तरफ़ से नारा-ए-सल्ले-अला उठे
तेरे मुजस्समों से ज़मीं जगमगा उठे

मेरे हुनर में सर्फ़ हुई है तिरी नज़र
ख़ेमा है मेरे नाम का बाला-ए-बहर-ओ-बर
शोहरत की बज़्म तुझ से मुनव्वर नहीं मगर
फ़र्क़-ए-गदा पे ताज है सुल्ताँ बरहना-सर
परवाने को वो कौन है जो मानता नहीं
और शम्अ' किस तरफ़ है कोई जानता नहीं

दिल तेरी बज़्म-ए-नाज़ में जब से है बारयाब
हर ख़ार एक गुल है तो हर ज़र्रा आफ़्ताब
इक लश्कर-ए-नशात है हर ग़म के हम-रिकाब
ज़ेर-ए-नगीं है आलम-ए-तमकीन-ओ-इज़तिराब
बाद-ए-मुराद ओ चश्मक-ए-तूफ़ाँ लिए हुए
हूँ बू-ए-ज़ुल्फ़-ओ-जुंबिश-ए-मिज़्गाँ लिए हुए

तेरे लबों से चश्मा-ए-हैवाँ मिरा कलाम
तेरी लटों से मौजा-ए-तूफ़ाँ मिरा कलाम
तेरी नज़र से तूर-ब-दामाँ मिरा कलाम
तेरे सुख़न से नग़्मा-ए-यज़्दाँ मिरा कलाम
तू है पयाम-ए-आलम-ए-बाला मिरे लिए
इक वही-ए-ज़ी-हयात है गोया मिरे लिए

ऐ माह-ए-शेर-परवर ओ मेहर-ए-सुख़न-वरी
ऐ आब-ओ-रंग-ए-'हाफ़िज़' ओ ऐ हुस्न-ए-'अनवरी'
तू ने ही सब्त की है ब-सद नाज़-ए-दावरी
मेरे सुख़न की पुश्त पे मोहर-ए-पयम्बरी
तेरी शमीम-ए-ज़ुल्फ़ की दौलत लिए हुए
मेरा नफ़स है बू-ए-रिसालत लिए हुए

दुर-हा-ए-आब-दार ओ शरर-हा-ए-दिल-नशीं
शब-हा-ए-तल्ख़-ओ-तुर्श ओ सहर-हा-ए-शक्करीं
अक़्ल-ए-नशात-ख़ेज़ ओ जुनून-ए-ग़म-आफ़रीं
दौलत वो कौन है जो मिरी जेब में नहीं
टकराई जब भी मुझ से ख़जिल सरवरी हुई
यूँ है तिरे फ़क़ीर की झोली भरी हुई

नग़्मे पले हैं दौलत-ए-गुफ़्तार से तिरी
पाया है नुत्क़ चश्म-ए-सुख़न-बार से तिरी
ताक़त है दिल में नर्गिस-ए-बीमार से तिरी
क्या क्या मिला है 'जोश' को सरकार से तिरी
बाँके ख़याल हैं ख़म-ए-गर्दन लिए हुए
हर शे'र की कलाई है कंगन लिए हुए

ऐ लैली-ए-नहुफ़्ता ओ ऐ हुस्न-ए-शर्मगीं
तुझ पर निसार दौलत-ए-दुनिया मता-ए-दींं
मंसूब मुझ से है जो ब-अंदाज़-ए-दिल-नशीं
तेरी वो शाइ'री है मिरी शाइ'री नहीं
आवाज़ा चर्ख़ पर है जो इस दर्द-मंद का
गोया वो अक्स है तिरे क़द्द-ए-बुलंद का

मेरे बयाँ में ये जो वफ़ूर-ए-सुरूर है
ताक़-ए-सुख़न-वरी में जो ये शम-ए-तूर है
ये जो मिरे चराग़ की ज़ौ दूर दूर है
सरकार ही की मौज-ए-तबस्सुम का नूर है
शे'रों में करवटें ये नहीं सोज़-ओ-साज़ की
लहरें हैं ये हुज़ूर की ज़ुल्फ़-ए-दराज़ की

मुझ रिंद-ए-हुस्न-कार की मय-ख़्वारियाँ न पूछ
इस ख़्वाब-ए-जाँ-फ़रोज़ की बेदारियाँ न पूछ
करती है क्यूँ शराब ख़िरद-बारियाँ न पूछ
बे-होशियों में क्यूँ है ये हुश्यारियाँ न पूछ
पीता हूँ वो जो ज़ुल्फ़ की रंगीं घटाओं में
खिंचती है उन घनी हुई पलकों की छाँव में

हुश्यार इस लिए हूँ कि मय-ख़्वार हूँ तिरा
सय्याद-ए-शे'र हूँ कि गिरफ़्तार हूँ तिरा
लहजा मलीह है कि नमक-ख़्वार हूँ तिरा
सेह्हत ज़बान में है कि बीमार हूँ तिरा
तेरे करम से शेर-ओ-अदब का इमाम हूँ
शाहों पे ख़ंदा-ज़न हूँ कि तेरा ग़ुलाम हूँ

मैं वो हूँ जिस के ग़म ने तिरे दिल में राह की
इक उम्र जिस के इश्क़ में ख़ुद तू ने आह की
सोया है शौक़ सेज पे तेरी निगाह की
रातें कटी हैं साए में चश्म-ए-सियाह की
क्यूँ कर न शाख़-ए-गुल की लचक हो बयान में
तेरी कमर का लोच है मेरी ज़बान में

तर्शे हुए लबों के बहकते ख़िताब से
ज़रतार काकुलों के महकते सहाब से
सरशार अँखड़ियों के दहकते शबाब से
मौज-ए-नफ़स के इत्र से मुखड़े की आब से
बारह बरस तपा के ज़माना सुहाग का
सींचा है तू ने बाग़ मिरे दिल की आग का

गर्मी से जिस की बर्फ़ का देवता डरे वो आग
शो'लों में ओस को जो मुबद्दल करे वो आग
लौ से जो ज़महरीर का दामन भरे वो आग
हद है जो नाम नार-ए-सक़र पर धरे वो आग
जिस की लपट गले में जलाती है राग को
पाला है क़ल्ब-ए-नाज़ में तू ने उस आग को

  - Josh Malihabadi

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Josh Malihabadi

As you were reading Shayari by Josh Malihabadi

Similar Writers

our suggestion based on Josh Malihabadi

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari