dekhne ka na kuchh dikhaane ka
daur ye hai abhi kamaane ka
chhod ke mujhko aate jaate sab
sach bataaun to aastaane ka
aaj-kal daur-e-ishq ka matlab
dono haathon se sab lutaane ka
tere bas ka nahin khyaal na kar
zakham lautaa de is deewane ka
gham hi khaata hoon peeta hoon aansu
haal ye hai ghareeb-khaane ka
ajnabiyyat na tum bayaan karo
bas bharam rakhna dostaane ka
soorat-e-haal kya bataaye joo'on
ishq mohtaaj daane-daane ka
देखने का न कुछ दिखाने का
दौर ये है अभी कमाने का
छोड़ के मुझको आते जाते सब
सच बताऊँ तो आस्ताने का
आज-कल दौर-ए-इश्क़ का मतलब
दोनों हाथों से सब लुटाने का
तेरे बस का नहीं ख़्याल न कर
ज़ख़्म लौटा दे इस दिवाने का
ग़म ही खाता हूँ पीता हूँ आँसू
हाल ये है ग़रीब-ख़ाने का
अजनबिय्यत न तुम बयान करो
बस भरम रखना दोस्ताने का
सूरत-ए-हाल क्या बताए जू'न
इश्क़ मोहताज दाने-दाने का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Juun Sahab
our suggestion based on Juun Sahab
As you were reading Khyaal Shayari Shayari