muhabbat ki gazlen sunaate nahin hain
pata shaayaron ka bataate nahin hain
mere kamre mein ab udaasi hai qaayam
magar bheed mein ham dikhaate nahin hain
kahi ham sharaabi na ho jaaye yaaron
so ziyaada bhi paani milaate nahin hain
muhabbat mein parda uthaate hain lekin
jhuki is nazar ko uthaate nahin hain
kahi ye na ho duniya sar pe uthaale
shareefon ko ziyaada pilaate nahin hain
haan maana ki cigarette jalate hain lekin
kisi ke bhi dil ko jalate nahin hain
bata denge tumko bichadna hain kaise
mohabbat-wuhabbat sikhaate nahin hain
मुहब्बत की गज़लें सुनाते नहीं हैं
पता शायरों का बताते नहीं हैं
मेरे कमरें में अब उदासी है क़ायम
मगर भीड़ में हम दिखाते नहीं हैं
कहीं हम शराबी न हो जाए यारों
सो ज़्यादा भी पानी मिलाते नहीं हैं
मुहब्बत में पर्दा उठाते हैं लेकिन
झुकी इस नज़र को उठाते नहीं हैं
कहीं ये न हो, दुनिया सर पे उठाले
शरीफों को ज़्यादा पिलाते नहीं हैं
हाँ माना कि सिगरट जलाते हैं लेकिन
किसी के भी दिल को जलाते नहीं हैं
बता देंगे तुमको, बिछड़ना हैं कैसे
मुहब्बत-वुहब्बत सिखाते नहीं हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by "Nadeem khan' Kaavish"
our suggestion based on "Nadeem khan' Kaavish"
As you were reading Love Shayari Shayari