har-chand gham-o-dard ki qeemat bhi bahut thi | हर-चंद ग़म-ओ-दर्द की क़ीमत भी बहुत थी - Kaleem Aajiz

har-chand gham-o-dard ki qeemat bhi bahut thi
lena hi pada dil ko zaroorat bhi bahut thi

zalim tha vo aur zulm ki aadat bhi bahut thi
majboor the ham us se mohabbat bhi bahut thi

go tark-e-ta'alluq mein suhulat bhi bahut thi
lekin na hua ham se ki ghairat bhi bahut thi

us but ke sitam sah ke dikha hi diya ham ne
go apni tabi'at mein bagaavat bhi bahut thi

waqif hi na tha ramz-e-mohabbat se vo warna
dil ke liye thodi si inaayat hi bahut thi

yun hi nahin mashhoor-e-zamaana mera qaateel
us shakhs ko is fan mein mahaarat bhi bahut thi

kya daur-e-ghazal tha ki lahu dil mein bahut tha
aur dil ko lahu karne ke furqat bhi bahut thi

har shaam sunaate the haseenon ko ghazal ham
jab maal bahut tha to sakhaawat bhi bahut thi

bulwa ke ham aajiz ko pashemaan bhi bahut hain
kya kijie kam-bakht ki shohrat bhi bahut thi

हर-चंद ग़म-ओ-दर्द की क़ीमत भी बहुत थी
लेना ही पड़ा दिल को ज़रूरत भी बहुत थी

ज़ालिम था वो और ज़ुल्म की आदत भी बहुत थी
मजबूर थे हम उस से मोहब्बत भी बहुत थी

गो तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ में सुहुलत भी बहुत थी
लेकिन न हुआ हम से कि ग़ैरत भी बहुत थी

उस बुत के सितम सह के दिखा ही दिया हम ने
गो अपनी तबीअ'त में बग़ावत भी बहुत थी

वाक़िफ़ ही न था रम्ज़-ए-मोहब्बत से वो वर्ना
दिल के लिए थोड़ी सी इनायत ही बहुत थी

यूँ ही नहीं मशहूर-ए-ज़माना मिरा क़ातिल
उस शख़्स को इस फ़न में महारत भी बहुत थी

क्या दाैर-ए-ग़ज़ल था कि लहू दिल में बहुत था
और दिल को लहू करने के फ़ुर्सत भी बहुत थी

हर शाम सुनाते थे हसीनों को ग़ज़ल हम
जब माल बहुत था तो सख़ावत भी बहुत थी

बुलवा के हम 'आजिज़' को पशेमाँ भी बहुत हैं
क्या कीजिए कम-बख़्त की शोहरत भी बहुत थी

- Kaleem Aajiz
0 Likes

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari