kare jo qaid junoon ko vo jaal mat dena
ho jismein hosh use aisa haal mat dena
jo mujhse milne ka tumko kabhi khayal aaye
to is khayal ko tum kal pe taal mat dena
jo usko dekhoon to bas dekhta rahoon usko
ab uske jaisa kisi ko jamaal mat dena
junoon ki rau mein jo deewaana dagmagaye kabhi
to aise haal mein usko sambhaal mat dena
tumhaari yaad se ghaafil main jisse rahne lagoon
mujhe tum aisa hunar ya kamaal mat dena
firaqe yaar mein ye baa'ise masarrat hain
tum unki yaadon ko dil se nikaal mat dena
khuloos bech ke daulat kamaai ho jisne
tum aise shakhs ki hamse misaal mat dena
tum hi ne baksha hai kaashif ko apne itna urooj
ab is maqaam pe laakar zawaal mat dena
करे जो क़ैद जुनूं को वो जाल मत देना
हो जिसमें होश उसे ऐसा हाल मत देना
जो मुझसे मिलने का तुमको कभी ख़याल आये
तो इस ख़याल को तुम कल पे टाल मत देना
जो उसको देखूं तो बस देखता रहूं उसको
अब उसके जैसा किसी को जमाल मत देना
जुनूं की रौ में जो दीवाना डगमगाये कभी
तो ऐसे हाल में उसको सम्भाल मत देना
तुम्हारी याद से ग़ाफ़िल मैं जिससे रहने लगूं
मुझे तुम ऐसा हुनर या कमाल मत देना
फ़िराक़े यार में ये बाइसे मसर्रत हैं
तुम उनकी यादों को दिल से निकाल मत देना
ख़ुलूस बेच के दौलत कमाई हो जिसने
तुम ऐसे शख़्स की हमसे मिसाल मत देना
तुम ही ने बख़्शा है काशिफ़ को अपने इतना उरूज
अब इस मुक़ाम पे लाकर ज़वाल मत देना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kashif Adeeb Makanpuri
our suggestion based on Kashif Adeeb Makanpuri
As you were reading Raqs Shayari Shayari