udne ki tadbeer mein uljhe rahte hain
qaid mein hain zanjeer mein uljhe rahte hain
bas teri yaadein hain sarmaaya apna
ham apni jaageer mein uljhe rahte hain
suraj se kuchh seekh nahin lete hain log
taaron ki tanveer mein uljhe rahte hain
duniya ke rangeen manaazir kya dekhen
ham teri tasveer mein uljhe rahte hain
kuchh ban jaate hain taarikh zamaane ki
kuchh apni tahreer mein uljhe rahte hain
pyaar kiya hamne to ye maaloom hua
kyun sab raanjha heer mein uljhe rahte hain
badnaseebi ki takmeel se kya matlab hamko
badnaseebi ki taabeer mein uljhe rahte hain
qaum ne apni jinko zimmedaari di
vo apni tashheer mein uljhe rahte hain
lafzon se kya matlab hamko ai kaashif
lehje ki taaseer mein uljhe rahte hain
उड़ने की तदबीर में उल्झे रहते हैं
क़ैद में हैं ज़ंजीर में उल्झे रहते हैं
बस तेरी यादें हैं सरमाया अपना
हम अपनी जागीर में उल्झे रहते हैं
सूरज से कुछ सीख नहीं लेते हैं लोग
तारों की तनवीर में उल्झे रहते हैं
दुनिया के रंगीन मनाज़िर क्या देखें
हम तेरी तस्वीर में उल्झे रहते हैं
कुछ बन जाते हैं तारीख़ ज़माने की
कुछ अपनी तहरीर में उल्झे रहते हैं
प्यार किया हमने तो ये मालूम हुआ
क्यूँ सब रांझा हीर में उल्झे रहते हैं
ख़्वाबों की तकमील से क्या मतलब हमको
ख़्वाबों की ताबीर में उल्झे रहते हैं
क़ौम ने अपनी जिनको ज़िम्मेदारी दी
वो अपनी तशहीर में उल्झे रहते हैं
लफ़्ज़ों से क्या मतलब हमको ऐ काशिफ़
लहजे की तासीर में उल्झे रहते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kashif Adeeb Makanpuri
our suggestion based on Kashif Adeeb Makanpuri
As you were reading Gunaah Shayari Shayari