dekhiye mayus chehre par hasi ki haaziri | देखिये मायूस चेहरे पर हंसी की हाज़िरी - Kashif Adeeb Makanpuri

dekhiye mayus chehre par hasi ki haaziri
dil mein jab ho jaaye dhoke se khushi ki haaziri

ab khuda jaane ki ho anjaam kya naadaan ka
shaakh par hai phool ki soorat kali ki haaziri

kaise lafzon mein bayaan ho paaye ye manzar haseen
aasmaa par chaand ghar mein chaandni ki haaziri

ek to aankhen musharraf hongi unki deed se
aur ho jaayegi aise haaziri ki haaziri

karte hain do pyaar karne waale jab aapas mein baat
achhi lagti hai kahaan us dam kisi ki haaziri

us gali mein koi mujhko jaanne waala nahin
muddaton main ne lagaaee jis gali ki haaziri

baa adab ho kar khade hain haazire darbaar sab
zindagaani le rahi hai ab sabhi ki haaziri

us haseen chehre ka hi faizaan hai kaashif adeeb
zehn mein hone lagi hai shaayri ki haaziri

देखिये मायूस चेहरे पर हंसी की हाज़िरी
दिल में जब हो जाये धोके से ख़ुशी की हाज़िरी

अब ख़ुदा जाने कि हो अन्जाम क्या नादान का
शाख़ पर है फूल की सूरत कली की हाज़िरी

कैसे लफ़्ज़ों में बयाँ हो पाये ये मन्ज़र हसीं
आस्मा पर चाँद घर में चाँदनी की हाज़िरी

एक तो आंखें मुशर्रफ़ होंगी उनकी दीद से
और हो जायेगी ऐसे हाज़िरी की हाज़िरी

करते हैं दो प्यार करने वाले जब आपस में बात
अच्छी लगती है कहाँ उस दम किसी की हाज़िरी

उस गली में कोई मुझको जानने वाला नहीं
मुद्दतों मैं ने लगाई जिस गली की हाज़िरी

बा अदब हो कर खड़े हैं हाज़िरे दरबार सब
ज़िन्दगानी ले रही है अब सभी की हाज़िरी

उस हसीं चेहरे का ही फ़ैज़ान है काशिफ़ अदीब
ज़ेह्न में होने लगी है शाइरी की हाज़िरी

- Kashif Adeeb Makanpuri
0 Likes

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kashif Adeeb Makanpuri

As you were reading Shayari by Kashif Adeeb Makanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Kashif Adeeb Makanpuri

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari