mere ghamkhwaar waqt lagta hai | मेरे ग़मख़्वार वक़्त लगता है

  - Kashif Adeeb Makanpuri

mere ghamkhwaar waqt lagta hai
pyaar hai pyaar waqt lagta hai

pyaar mein sabr bhi zuroori hai
hoga izhaar waqt lagta hai

dil mein aise jagah nahin milti
mere sarkaar waqt lagta hai

rang apna dikhaayenge ik din
gul hon ya khaar waqt lagta hai

unki zulfon ki jaal mein mujrim
ho girftaar waqt lagta hai

tere peeche chalega khush ho kar
saara sansaar waqt lagta hai

paarsa aise kaise ho jaaye
ik gunahgaar waqt lagta hai

mujhse milne ko mere badnaseebi mein
tujhko har baar waqt lagta hai

log jiski misaal dete rahein
ho vo kirdaar waqt lagta hai

kya hua kyun uljh gaye kaashif
honge ashaar waqt lagta hai

मेरे ग़मख़्वार वक़्त लगता है
प्यार है प्यार वक़्त लगता है

प्यार में सब्र भी ज़ुरुरी है
होगा इज़हार वक़्त लगता है

दिल में ऐसे जगह नहीं मिलती
मेरे सरकार वक़्त लगता है

रंग अपना दिखायेंगे इक दिन
गुल हों या ख़ार वक़्त लगता है

उनकी ज़ुल्फ़ों कि जाल में मुजरिम
हो गिरफ़्तार वक़्त लगता है

तेरे पीछे चलेगा ख़ुश हो कर
सारा संसार वक़्त लगता है

पारसा ऐसे कैसे हो जाए
इक गुनहगार वक़्त लगता है

मुझसे मिलने को मेरे ख़्वाबों में
तुझको हर बार वक़्त लगता है

लोग जिसकी मिसाल देते रहें
हो वो किरदार वक़्त लगता है

क्या हुआ क्यूँ उलझ गये काशिफ़
होंगे अशआर वक़्त लगता है

  - Kashif Adeeb Makanpuri

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kashif Adeeb Makanpuri

As you were reading Shayari by Kashif Adeeb Makanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Kashif Adeeb Makanpuri

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari