banne waali hi thi nafrat ki kahaani duniya | बनने वाली ही थी नफ़रत की कहानी दुनिया

  - Kashif Adeeb Makanpuri

banne waali hi thi nafrat ki kahaani duniya
daud kar ahle mohabbat ne bacha li duniya

ismein bas aap hi bas aap nazar aate hain
main ne duniya se alag apni banaai duniya

aapne apna bataaya hai mujhe jis din se
de rahi hai mujhe aa aake badhaai duniya

yun hi karte nahin sab log mohabbat mujh se
pyaar ka dhan hai lutaaya to kamaai duniya

ye hai girgit ki tarah rang badalti apna
laal peeli kabhi neeli kabhi dhaani duniya

nafratoin ka hai har ik samt andhera phir bhi
pyaar se dekho nazar aayegi pyaari duniya

kabhi tanhaai mein hansata hoon kabhi rota hoon
teri yaadon ki haseen ek bana li duniya

tu mujhe bhool na paayegi qayamat tak bhi
de ke jaaunga tujhe aisi nishaani duniya

maa ke kadmon ko jo chooma to laga ye kaashif
maa ke kadmon mein simat aayi hai saari duniya

बनने वाली ही थी नफ़रत की कहानी दुनिया
दौड़ कर अहले मोहब्बत ने बचा ली दुनिया

इसमें बस आप ही बस आप नज़र आते हैं
मैं ने दुनिया से अलग अपनी बनाई दुनिया

आपने अपना बताया है मुझे जिस दिन से
दे रही है मुझे आ आके बधाई दुनिया

यूँ ही करते नहीं सब लोग मोहब्बत मुझ से
प्यार का धन है लुटाया तो कमाई दुनिया

ये है गिरगिट की तरह रंग बदलती अपना
लाल पीली कभी नीली कभी धानी दुनिया

नफ़रतों का है हर इक सम्त अन्धेरा फिर भी
प्यार से देखो नज़र आयेगी प्यारी दुनिया

कभी तन्हाई में हंसता हूं कभी रोता हूं
तेरी यादों की हसीं एक बना ली दुनिया

तू मुझे भूल न पायेगी क़यामत तक भी
दे के जाऊंगा तुझे ऐसी निशानी दुनिया

माँ के कदमों को जो चूमा तो लगा ये काशिफ़
माँ के कदमों में सिमट आई है सारी दुनिया

  - Kashif Adeeb Makanpuri

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kashif Adeeb Makanpuri

As you were reading Shayari by Kashif Adeeb Makanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Kashif Adeeb Makanpuri

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari