yaad hai pehle roz kaha tha | "याद है पहले रोज़ कहा था"

  - Khalil Ur Rehman Qamar

yaad hai pehle roz kaha tha

yaad hai pehle roz kaha tha
phir na kehna ghalti dil ki
pyaar samajh ke karna ladki
pyaar nibhaana hota hai
phir paar lagana hota hai

yaad hai pehle roz kaha tha
saath chalo to poore safar tak
mar jaane ki agli khabar tak
samjho yaar khuda tak hoga
saara pyaar wafa tak hoga
phir ye bandhan tod na jaana
chhod gaye to phir na aana
chhod diya jo tera nahin hai
chala gaya jo mera nahin hai

yaad hai pehle roz kaha tha
ya to toot ke pyaar na karna
ya phir peeth pe vaar na karna
jab nadaani ho jaati hai
nayi kahaani ho jaati hai
nayi kahaani likh laaunga
agle roz main bik jaaunga
tere gul jab khil jaayenge
mujhko paise mil jaayenge

yaad hai pehle roz kaha tha
bichhad gaye to mauj udhaana
waapas mere paas na aana
jab koi jaakar waapas aaye
roye tadpe ya pachhtaaye
main phir usko milta nahin hoon
saath dobara chalta nahin hoon
gum jaata hoon kho jaata hoon
main patthar ka ho jaata hoon

"याद है पहले रोज़ कहा था"


याद है पहले रोज़ कहा था
फिर न कहना ग़लती दिल की
प्यार समझ के करना लड़की
प्यार निभाना होता है
फिर पार लगाना होता है

याद है पहले रोज़ कहा था
साथ चलो तो पूरे सफ़र तक
मर जाने की अगली ख़बर तक
समझो यार ख़ुदा तक होगा
सारा प्यार वफ़ा तक होगा
फिर ये बंधन तोड़ न जाना
छोड़ गए तो फिर न आना
छोड़ दिया जो तेरा नहीं है
चला गया जो मेरा नहीं है

याद है पहले रोज़ कहा था
या तो टूट के प्यार न करना
या फिर पीठ पे वार न करना
जब नादानी हो जाती है
नई कहानी हो जाती है
नई कहानी लिख लाऊँगा
अगले रोज़ मैं बिक जाऊँगा
तेरे गुल जब खिल जाएँगे
मुझको पैसे मिल जाएँगे

याद है पहले रोज़ कहा था
बिछड़ गए तो मौज उड़ाना
वापस मेरे पास न आना
जब कोई जाकर वापस आए
रोए तड़पे या पछताए
मैं फिर उसको मिलता नहीं हूँ
साथ दोबारा चलता नहीं हूँ
गुम जाता हूँ खो जाता हूँ
मैं पत्थर का हो जाता हूँ

  - Khalil Ur Rehman Qamar

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khalil Ur Rehman Qamar

As you were reading Shayari by Khalil Ur Rehman Qamar

Similar Writers

our suggestion based on Khalil Ur Rehman Qamar

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari