jaise har zehan ko zanjeer se dar lagta hai | जैसे हर ज़ेहन को ज़ंजीर से डर लगता है

  - Khalil Ur Rehman Qamar

jaise har zehan ko zanjeer se dar lagta hai
peer-o-murshid mujhe har peer se dar lagta hai

maqtab-e-fikr ki bohataat jahaan hoti hai
tarjuma theek hai tafseer se dar lagta hai

jismein taqdeer badlne ki sahoolat na mile
aisi likkhi hui taqdeer se dar lagta hai

jisse chup chaap zameeron ko sulaaya jaaye
aise kam-zarf ki taqdeer se dar lagta hai

जैसे हर ज़ेहन को ज़ंजीर से डर लगता है
पीर-ओ-मुर्शद मुझे हर पीर से डर लगता है

मक़्तब-ए-फ़िक्र की बोहतात जहाँ होती है
तर्जुमा ठीक है तफ़सीर से डर लगता है

जिसमें तक़दीर बदलने की सहूलत न मिले
ऐसी लिक्खी हुई तक़दीर से डर लगता है

जिससे चुप चाप ज़मीरों को सुलाया जाए
ऐसे कम-ज़र्फ़ की तक़दीर से डर लगता है

  - Khalil Ur Rehman Qamar

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khalil Ur Rehman Qamar

As you were reading Shayari by Khalil Ur Rehman Qamar

Similar Writers

our suggestion based on Khalil Ur Rehman Qamar

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari