is naye maahol mein jo bhi jiya beemaar hai | इस नए माहौल में जो भी जिया बीमार है

  - Kunwar Bechain

is naye maahol mein jo bhi jiya beemaar hai
jis kisi se bhi naya parichay kiya beemaar hai

hans rahi hai kaanch ke kapde pahankar bijliyaan
usko kya maaloom mitti ka diya beemaar hai

aaj shabdon ki sabha mein ek ye hi shor tha
surkh hai kyun surkhiyaan jab haashiyaan beemaar hai

kaam mein aaye nahin dhaage sui marham dava
aaj bhi jis zakhm ko hamne siya beemaar hai

rog kuchh aise mile hai shehar ki jheelon ko ab
inka paani jis kisi ne bhi piya beemaar hai

ek bhi ummeed ki chitthi idhar aati nahin
ho na ho apne samay ka daakiya beemaar hai

kal ghazal mein pyaar ke hi kaafiye ka zor tha
aaj lekin pyaar ka hi kaafiya beemaar hai

इस नए माहौल में जो भी जिया बीमार है
जिस किसी से भी नया परिचय किया बीमार है

हंस रही है कांच के कपडे पहनकर बिजलियाँ
उसको क्या मालूम मिट्टी का दिया बीमार है

आज शब्दों की सभा में एक ये ही शोर था
सुर्ख है क्यों सुर्खियाँ जब हाशियाँ बीमार है

काम में आए नहीं धागे, सुई, मरहम, दवा
आज भी जिस ज़ख्म को हमने सिया बीमार है

रोग कुछ ऐसे मिले है शहर की झीलों को अब
इनका पानी जिस किसी ने भी पिया बीमार है

एक भी उम्मीद की चिट्ठी इधर आती नहीं
हो न हो अपने समय का डाकिया बीमार है

कल ग़ज़ल में प्यार के ही काफ़िये का ज़ोर था
आज लेकिन प्यार का ही काफ़िया बीमार है

  - Kunwar Bechain

Teer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kunwar Bechain

As you were reading Shayari by Kunwar Bechain

Similar Writers

our suggestion based on Kunwar Bechain

Similar Moods

As you were reading Teer Shayari Shayari