kuchh aise raaston se ishq ka safar jaaye | कुछ ऐसे रास्तों से इश्क़ का सफ़र जाए

  - Kushal Dauneria

kuchh aise raaston se ishq ka safar jaaye
tumhaara hijr bahut door se guzar jaaye

udaasiyon se bhari kacchi umr ki ye nasl
jo shayari na kare to dukhon se mar jaaye

pachaas logon se vo roz milti hai aur main
kisi ko dekh luun to us ka munh utar jaaye

ghatta chatte to dikhe chaand bhi sitaare bhi
jo tum hato to kisi aur par nazar jaaye

hazaar saal mein taiyyaar hone waala mard
us ek god mein sar rakhte hi bikhar jaaye

main us badan se sabhi pairhan utaarun aur
andhera jism pe kapde ka kaam kar jaaye

meri havas ko koi doosra mayassar ho
tumhaara husn kisi aur se sanwar jaaye

कुछ ऐसे रास्तों से इश्क़ का सफ़र जाए
तुम्हारा हिज्र बहुत दूर से गुज़र जाए

उदासियों से भरी कच्ची उम्र की ये नस्ल
जो शायरी न करे तो दुखों से मर जाए

पचास लोगों से वो रोज़ मिलती है और मैं
किसी को देख लूँ तो उस का मुँह उतर जाए

घटा छटे तो दिखे चाँद भी सितारे भी
जो तुम हटो तो किसी और पर नज़र जाए

हज़ार साल में तय्यार होने वाला मर्द
उस एक गोद में सर रखते ही बिखर जाए

मैं उस बदन से सभी पैरहन उतारूँ और
अँधेरा जिस्म पे कपड़े का काम कर जाए

मेरी हवस को कोई दूसरा मयस्सर हो
तुम्हारा हुस्न किसी और से सँवर जाए

  - Kushal Dauneria

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kushal Dauneria

As you were reading Shayari by Kushal Dauneria

Similar Writers

our suggestion based on Kushal Dauneria

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari