ab usko bhi meri aadat hai
bol raha tha jo tu aafat hai
dhoondh rahe hain ab bhi unko ham
jinka dikhnna yaar qayamat hai
jisse mujhko yaar mohabbat thi
usse kyun mujhko ab nafrat hai
dekha maa ke kadmon ke neeche
neeche sachmuch mein ik jannat hai
is duniya mein ik hi ladki hai
jispar duniya bhar ki laanat hai
अब उसको भी मेरी आदत है
बोल रहा था जो तू आफ़त है
ढूंढ रहे हैं अब भी उनको हम
जिनका दिखना यार क़यामत है
जिससे मुझको यार मोहब्बत थी
उससे क्यों मुझको अब नफ़रत है
देखा माँ के कदमों के नीचे
नीचे सचमुच में इक जन्नत है
इस दुनिया में इक ही लड़की है
जिसपर दुनिया भर की लानत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kabir Altamash
our suggestion based on Kabir Altamash
As you were reading Dost Shayari Shayari