ishaaron se iqraar dekha
jhalakta hua pyaar dekha
ghamon mein unhen yaar dekha
kahaan jang se pyaar dekha
hamesha jo inkaar karta
usi ka sarokaar dekha
mile ajnabi kii tarah hi
kabhi bhi na ghar-baar dekha
bade aur chhote lade hain
kisi ko na be-kaar dekha
muhabbat nahin roz hoti
usi ke liye pyaar dekha
khata to hui hai kisi se
nahin phir khata-kaar dekha
haqeeqat wahan aur hi thi
sabhi ne gunahgaar dekha
mile jab kabhi bhi manohar
wahi josh har-baar dekha
इशारों से इक़रार देखा
झलकता हुआ प्यार देखा
गमों में उन्हें यार देखा
कहाँ जंग से प्यार देखा
हमेशा जो इनकार करता
उसी का सरोकार देखा
मिले अजनबी की तरह ही
कभी भी न घर-बार देखा
बड़े और छोटे लड़े हैं
किसी को न बे-कार देखा
मुहब्बत नहीं रोज़ होती
उसी के लिए प्यार देखा
ख़ता तो हुई है किसी से
नहीं फिर ख़ता-कार देखा
हक़ीक़त वहाँ और ही थी
सभी ने गुनहगार देखा
मिले जब कभी भी "मनोहर"
वही जोश हर-बार देखा
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari