qissa humein hamdam sunaate hi rahe | क़िस्सा हमें हमदम सुनाते ही रहे - Manohar Shimpi

qissa humein hamdam sunaate hi rahe
sun ke wahi dil phir dukhaate hi rahe

hum is jahaan ke hi musafir hi to hain
daulat faqat phir kyun jutaate hi rahe

itni muhabbat jab tumhein karte sanam
kyun is qadar aankhen churaate hi rahe

dekhe hue sapne sabhi sacche hi hain
phir khwaab mein kyun hi rulaate hi rahe

koii khata ho to khabar kar do humein
uske liye kyun dil dukhaate hi rahe

itna dil-o-dil chahte hum the unhen
ta-'umr dil se phir manaate hi rahe

क़िस्सा हमें हमदम सुनाते ही रहे
सुन के वही दिल फिर दुखाते ही रहे

हम इस जहाँ के ही मुसाफ़िर ही तो हैं
दौलत फ़क़त फिर क्यूँ जुटाते ही रहे

इतनी मुहब्बत जब तुम्हें करते सनम
क्यूँ इस क़दर आँखें चुराते ही रहे

देखे हुए सपने सभी सच्चे ही हैं
फिर ख़्वाब में क्यूँ ही रुलाते ही रहे

कोई ख़ता हो तो ख़बर कर दो हमें
उसके लिए क्यूँ दिल दुखाते ही रहे

इतना दिल-ओ-दिल चाहते हम थे उन्हें
ता-'उम्र दिल से फिर मनाते ही रहे

- Manohar Shimpi
1 Like

Kahani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Kahani Shayari Shayari