apne hi ghar samaaj se zillat ke khauf se
darte hain log ab bhi muhabbat ke khauf se
tere nigah-e-naaz ke neze se bach gaya
phir kya darega koii qayaamat ke khauf se
maalik ke zulm se hai zyaada zamaane ka
laakhon parinde qaid hain vehshat ke khauf se
afsar wa hukmraan se insaaf maangne
dheron pahunch na paaye hain rishvat ke khauf se
bachpan se dar yahi tha koii dil na tod de
ab jaake jaan chhooti hai muddat ke khauf se
bas isliye hi aadmi vo kaamyaab hai
darta nahin hai aaj bhi mehnat ke khauf se
अपने ही घर समाज से ज़िल्लत के ख़ौफ़ से
डरते हैं लोग अब भी मुहब्बत के ख़ौफ़ से
तेरे निगाहएनाज़ के नेज़े से बच गया
फिर क्या डरेगा कोई क़यामत के ख़ौफ़ से
मालिक के ज़ुल्म से है ज़्यादा ज़माने का
लाखों परिंदे क़ैद हैं वहशत के ख़ौफ़ से
अफ़सर व हुक्मरान से इंसाफ माँगने
ढेरों पहुँच न पाए हैं रिश्वत के ख़ौफ़ से
बचपन से डर यही था कोई दिल न तोड़ दे
अब जाके जान छूटी है मुद्दत के ख़ौफ़ से
बस इसलिए ही आदमी वो कामयाब है
डरता नहीं है आज भी मेहनत के ख़ौफ़ से
our suggestion based on Masoom Raza Shams
As you were reading undefined Shayari