kaise kahoon tum se ki apnon ne rulaaya hai bahut | कैसे कहूँ तुम से कि अपनों ने रुलाया है बहुत

  - Meenakshi Masoom

kaise kahoon tum se ki apnon ne rulaaya hai bahut
mujh par laga ke tohmaten ye dil dukhaaya hai bahut

har zakhm din par din hua hai aur bhi naasoor yun
apnon kii izzat ke liye inko chhupaaya hai bahut

mat pooch kab kaise dukha dil aur bhi ziyaada mera
mere dukhon par koii apna muskuraya hai bahut

toofaan apne zehan ke le kaagazon par raat din
likh likh ke maine nazm ghazalon ko mitaaya hai bahut

kitne maheene saal beete chain se soi nahin
mujhko buri yaadon ne khwaabon mein daraaya hai bahut

mere labon ne gar udhaari mein tabassum jo liya
to qarz in aankhon ne ro ro kar chukaaya hai bahut

sabse haseen ik phool gulshan se nadaarad ho gaya
is haadse par baagbaan ne dukh jataaya hai bahut

कैसे कहूँ तुम से कि अपनों ने रुलाया है बहुत
मुझ पर लगा के तोहमतें ये दिल दुखाया है बहुत

हर ज़ख़्म दिन पर दिन हुआ है और भी नासूर यूँ
अपनों की इज़्ज़त के लिए इनको छुपाया है बहुत

मत पूछ कब कैसे दुखा दिल और भी ज़्यादा मेरा
मेरे दुखों पर कोई अपना मुस्कुराया है बहुत

तूफ़ान अपने ज़ेहन के ले कागजों पर रात दिन
लिख लिख के मैंने नज़्म ग़ज़लों को मिटाया है बहुत

कितने महीने साल बीते चैन से सोई नहीं
मुझको बुरी यादों ने ख़्वाबों में डराया है बहुत

मेरे लबों ने गर उधारी में तबस्सुम जो लिया
तो क़र्ज़ इन आँखों ने रो रो कर चुकाया है बहुत

सबसे हसीं इक फूल गुलशन से नदारद हो गया
इस हादसे पर बाग़बाँ ने दुख जताया है बहुत

  - Meenakshi Masoom

More by Meenakshi Masoom

As you were reading Shayari by Meenakshi Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Meenakshi Masoom

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari