bahut hi khush hai zamaana mujhe bura kar ke | बहुत ही ख़ुश है ज़माना मुझे बुरा कर के

  - Meenakshi Masoom

bahut hi khush hai zamaana mujhe bura kar ke
main thak gai hoon zamaane se ab wafa kar ke

mujhe pasand nahin zindagi qafas tera
zara sii bakhsh mujhe raahatein rihaa kar ke

main bhi bacha na saki ot kar ke haathon kii
mili hawa ko tasalli diya bujha kar ke

raha na usmein koii ehsaas zinda jab
mujhe sukoon mila us ko phir hansa kar ke

mujhe naseeb se ik dost hai mila aisa
mita ghamon ko hai deta gale laga kar ke

abhi yakeen kii shaakhen bahut hi naazuk hain
na phool tod sanam daliyaan jhuka kar ke

meri na pyaas bujhi khwaab mein mila mujhko
saraab saunp gaya vo nazar chura kar ke

बहुत ही ख़ुश है ज़माना मुझे बुरा कर के
मैं थक गई हूँ ज़माने से अब वफ़ा कर के

मुझे पसंद नहीं ज़िन्दगी क़फ़स तेरा
ज़रा सी बख़्श मुझे राहतें रिहा कर के

मैं भी बचा न सकी ओट कर के हाथों की
मिली हवा को तसल्ली दिया बुझा कर के

रहा न उसमें कोई एहसास ज़िन्दा जब
मुझे सुकून मिला उस को फिर हँसा कर के

मुझे नसीब से इक दोस्त है मिला ऐसा
मिटा ग़मों को है देता गले लगा कर के

अभी यकीन की शाख़ें बहुत ही नाज़ुक हैं
न फूल तोड़ सनम डालियाँ झुका कर के

मेरी न प्यास बुझी ख़्वाब में मिला मुझको
सराब सौंप गया वो नज़र चुरा कर के

  - Meenakshi Masoom

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meenakshi Masoom

As you were reading Shayari by Meenakshi Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Meenakshi Masoom

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari