fakat barsaat mein dariya ko sehra se guzarna hai | फ़कत बरसात में दरिया को सहरा से गुज़रना है

  - Meenakshi Masoom

fakat barsaat mein dariya ko sehra se guzarna hai
parindon ko yahan phir saal bhar pyaasa hi marna hai

muhabbat mein kisi had tak sayaani ho gai hoon main
mujhe maaloom hai ab kyun kahaan kaise mukarna hai

naseem-e-subh sir apna tere shaane pe rakh loon to
sitamgar waqt ne aise mein tezi se guzarna hai

kabhi khwaab-e-seher lipti rahoon seene se main tere
badalkar karvatein tune mujhe bedaar karna hai

zaroori yun hai tere naam ko likhna hatheli par
ki tere naam se hi rang mehndi ka nikhrana hai

musalsal chahten barsa ke ab tere labon ne hi
muhabbat se mere banjar labon ko sabz karna hai

mujhe ik saans bhi tujhse alag rahkar nahin leni
tere hi saath rahna saath jeena saath marna hai

फ़कत बरसात में दरिया को सहरा से गुज़रना है
परिन्दों को यहाँ फिर साल भर प्यासा ही मरना है

मुहब्बत में किसी हद तक सयानी हो गई हूँ मैं
मुझे मालूम है अब क्यों कहाँ कैसे मुकरना है

नसीम-ए-सुब्ह सिर अपना तेरे शाने पे रख लूँ तो
सितमगर वक़्त ने ऐसे में तेज़ी से गुज़रना है

कभी ख़्वाब-ए-सहर लिपटी रहूँ सीने से मैं तेरे
बदलकर करवटें तूने मुझे बेदार करना है

ज़रूरी यूँ है तेरे नाम को लिखना हथेली पर
कि तेरे नाम से ही रंग मेहँदी का निखरना है

मुसलसल चाहतें बरसा के अब तेरे लबों ने ही
मुहब्बत से मेरे बंजर लबों को सब्ज़ करना है

मुझे इक साँस भी तुझसे अलग रहकर नहीं लेनी
तेरे ही साथ रहना साथ जीना साथ मरना है

  - Meenakshi Masoom

More by Meenakshi Masoom

As you were reading Shayari by Meenakshi Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Meenakshi Masoom

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari