meri aankhon se jo ye bahta jal hai | मेरी आँखों से जो ये बहता जल है

  - Meenakshi Masoom

meri aankhon se jo ye bahta jal hai
ye sab teri hi vaani ka to chhal hai

mujh mein bahti ek nadi sii chanchal hai
kya tujh patthar dil mein bhi kuchh halchal hai

teri yaadon ka jo mujh mein jungle hai
usmein mahke sapnon ka jyon sandal hai

ye dil jab se tere prem mein ghaayal hai
tab se duniya mujhko samjhe paagal hai

kisne dastak di hai phir se is dar par
band hriday kii varshon se ye saankal hai

jaise thaam liya ho mujh ko phoolon ne
tune jab se chhua mera ye aanchal hai

is jeevan kii ek paheli sii tum ho
jiska mujhko nahin mila koii hal hai

मेरी आँखों से जो ये बहता जल है
ये सब तेरी ही वाणी का तो छल है

मुझ में बहती एक नदी सी चंचल है
क्या तुझ पत्थर दिल में भी कुछ हलचल है

तेरी यादों का जो मुझ में जंगल है
उसमें महके सपनों का ज्यों संदल है

ये दिल जब से तेरे प्रेम में घायल है
तब से दुनिया मुझको समझे पागल है

किसने दस्तक दी है फिर से इस दर पर
बंद हृदय की वर्षों से ये साँकल है

जैसे थाम लिया हो मुझ को फूलों ने
तूने जब से छुआ मेरा ये आँचल है

इस जीवन की एक पहेली सी तुम हो
जिसका मुझको नहीं मिला कोई हल है

  - Meenakshi Masoom

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meenakshi Masoom

As you were reading Shayari by Meenakshi Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Meenakshi Masoom

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari