kabhi ruki na mila waqt zindagi ke liye | कभी रुकी न मिला वक़्त ज़िन्दगी के लिए

  - Meenakshi Masoom

kabhi ruki na mila waqt zindagi ke liye
bani hoon main bhi musaafir musafiri ke liye

kahin pe sham'a jali aaj raushni ke liye
lage hai ye ki munavvar hai bandagi ke liye

jala vo sham'a sa parwaanagi thi mujh mein bhi
jale to raakh hue sirf aashiqi ke liye

khumaar uska chadha mujh pe is qadar ki faqat
talab usi kii hai har waqt be-khudi ke liye

bani hai us kii hi sharm-o-haya raqeeb meri
qareeb uske na jaane de dil-lagi ke liye

koii bhi jang na haari na sir jhuka mera
nazar jhuki hai meri dil-supurdagi ke liye

jo usne zakhm diye sab aziz hain mujhko
koii dava na kare in kii behtari ke liye

कभी रुकी न मिला वक़्त ज़िन्दगी के लिए
बनी हूँ मैं भी मुसाफ़िर मुसाफ़िरी के लिए

कहीं पे शम्अ जली आज रौशनी के लिए
लगे है ये कि मुनव्वर है बंदगी के लिए

जला वो शम्अ सा परवानगी थी मुझ में भी
जले तो राख हुए सिर्फ़ आशिक़ी के लिए

ख़ुमार उसका चढ़ा मुझ पे इस क़दर कि फ़क़त
तलब उसी की है हर वक़्त बे-ख़ुदी के लिए

बनी है उस की ही शर्म-ओ-हया रक़ीब मेरी
क़रीब उसके न जाने दे दिल-लगी के लिए

कोई भी जंग न हारी न सिर झुका मेरा
नज़र झुकी है मेरी दिल-सुपुर्दगी के लिए

जो उसने ज़ख़्म दिए सब अज़ीज़ हैं मुझको
कोई दवा न करे इन की बेहतरी के लिए

  - Meenakshi Masoom

More by Meenakshi Masoom

As you were reading Shayari by Meenakshi Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Meenakshi Masoom

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari