tum ne jo insaan hokar baat insaani nahin kii
kar to sakte the koii harkat jo shaitani nahin kii
kyun hamein buniyaad hone kii galat-fahmi rahi ye
kyun hamaare dil ne saari umr manmaani nahin kii
paas koii jo sunaane ke liye qissa nahin hai
ho raha afsos ye kyun ham ne nadaani nahin kii
dhoop mein ik ped ka saaya mayassar ho gaya to
baadlon kii chaanv kii har waqt nigraani nahin kii
jo charaagon kii tarah jalte rahe us raat ko ham
to khuda ne bhi hawa us roz toofaani nahin kii
raaz saare khul gaye naakaam dil ke tab hamaare
dil-jale kii baat par jab hamne hairaani nahin kii
ham ne ik maasoom ko jab bechte dekha khilone
phir kabhi harkat hamaare dil ne bachkaani nahin kii
तुम ने जो इंसान होकर बात इंसानी नहीं की
कर तो सकते थे कोई हरकत जो शैतानी नहीं की
क्यों हमें बुनियाद होने की ग़लत-फ़हमी रही ये
क्यों हमारे दिल ने सारी उम्र मनमानी नहीं की
पास कोई जो सुनाने के लिए क़िस्सा नहीं है
हो रहा अफ़सोस ये क्यों हम ने नादानी नहीं की
धूप में इक पेड़ का साया मयस्सर हो गया तो
बादलों की छाँव की हर वक़्त निगरानी नहीं की
जो चराग़ों की तरह जलते रहे उस रात को हम
तो ख़ुदा ने भी हवा उस रोज़ तूफ़ानी नहीं की
राज़ सारे खुल गए नाकाम दिल के तब हमारे
दिल-जले की बात पर जब हमने हैरानी नहीं की
हम ने इक 'मासूम' को जब बेचते देखा खिलौने
फिर कभी हरकत हमारे दिल ने बचकानी नहीं की
As you were reading Shayari by Meenakshi Masoom
our suggestion based on Meenakshi Masoom
As you were reading undefined Shayari