bahut hi talkh lafz tune kah diye itaab mein | बहुत ही तल्ख़ लफ़्ज़ तूने कह दिए इताब में

  - Meenakshi Masoom

bahut hi talkh lafz tune kah diye itaab mein
mujhe tabhi mithaas dhoondhni padi sharaab mein

khushi khayal khwaab der tak ruke na is tarah
vujood bulbulon ka jis tarah rahe na aab mein

tujhe nahin diye isi gunaah kii saza mili
khatoon ke saath phool qaid ho gaye kitaab mein

pata nahin visaal kab khushi-khushi kise mila
mujhe to hijr hi mila hai ishq ke savaab mein

samay ke saath saath vo bada darakht ban gaya
jo beej dafn kar diya tha is dil-e-turaab mein

mujhe tu dekhte hue qareeb se guzar gaya
sanwaarti hi rah gai main zulf iztiraab mein

teri shabeeh kaaghazon pe main taraashti rahi
main dhoondhti rahi mahak yun kaaghazi gulaab mein

बहुत ही तल्ख़ लफ़्ज़ तूने कह दिए इताब में
मुझे तभी मिठास ढूँढ़नी पड़ी शराब में

ख़ुशी ख़याल ख़्वाब देर तक रुके न इस तरह
वजूद बुलबुलों का जिस तरह रहे न आब में

तुझे नहीं दिए इसी गुनाह की सज़ा मिली
ख़तों के साथ फूल क़ैद हो गए किताब में

पता नहीं विसाल कब ख़ुशी-ख़ुशी किसे मिला
मुझे तो हिज्र ही मिला है इश्क़ के सवाब में

समय के साथ साथ वो बड़ा दरख़्त बन गया
जो बीज दफ़्न कर दिया था इस दिल-ए-तुराब में

मुझे तू देखते हुए क़रीब से गुज़र गया
सँवारती ही रह गई मैं ज़ुल्फ़ इज़्तिराब में

तेरी शबीह काग़ज़ों पे मैं तराशती रही
मैं ढूँढती रही महक यूँ काग़ज़ी गुलाब में

  - Meenakshi Masoom

More by Meenakshi Masoom

As you were reading Shayari by Meenakshi Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Meenakshi Masoom

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari