bechain thi lahren samandar kii abhi toofaan se
ham dekhte the door saahil par khade hairaan se
saansey mehkati hain agar main yun miloon usse kabhi
jaise hawa mil ke mehkati hi rahe loban se
main raah ka patthar bani vo dev moorat ho gaya
kuchh bhi nahin hai farq dono rah gaye bejaan se
dil ek tarafaa ishq kii mushkil samajhta hi nahin
hain raaste jo ishq ke hote nahin aasaan se
mausam badalte hi ude jo shaakh se vo hain kahaan
laute nahin waapas parinden hain shazr veeraan se
बेचैन थी लहरें समंदर की अभी तूफ़ान से
हम देखते थे दूर साहिल पर खड़े हैरान से
साँसे महकती हैं अगर मैं यूँ मिलूँ उससे कभी
जैसे हवा मिल के महकती ही रहे लोबान से
मैं राह का पत्थर बनी वो देव मूरत हो गया
कुछ भी नहीं है फ़र्क़ दोनों रह गए बेजान से
दिल एक तरफ़ा इश्क़ की मुश्किल समझता ही नहीं
हैं रास्ते जो इश्क़ के होते नहीं आसान से
मौसम बदलते ही उड़े जो शाख़ से वो हैं कहाँ
लौटे नहीं वापस परिन्दें , हैं शज़र वीरान से
As you were reading Shayari by Meenakshi Masoom
our suggestion based on Meenakshi Masoom
As you were reading undefined Shayari