khat se vo zor safa-e-husn ab kam ho gaya
chaah-e-yusuf tha zaqan so chaah-e-rustam ho gaya
seena-kobi-e-sang se dil-e-khoon hone mein rahi
haq-b-jaanib tha hamaare sakht maatam ho gaya
ek sa aalam nahin rehta hai us aalam ke beech
ab jahaan koi nahin yaa ek aalam ho gaya
aankh ke ladte tiri aashob sa barpa hua
zulf ke dirham hue ik jam'a barham ho gaya
us lab-e-jaan-baksh ki hasrat ne maara jaan se
aab-e-haiwaan yaman-e-taale' se mere sam ho gaya
waqt tab tak tha to sajda masjidoon mein kufr tha
faaeda ab jab ki qad mehraab sa kham ho gaya
ishq un shahri ghazaalon ka junoon ko ab khincha
vahshat-e-dil badh gai aaraam-e-jaan ram ho gaya
jee khinche jaate hain fart-e-shauq se aankhon ki aur
jin ne dekha ek-dam us ko so be-dam ho gaya
ham ne jo kuchh us se dekha so khilaaf-e-chashm-e-daasht
apna izraail vo jaan mujassam ho gaya
kya kahoon kya tarhein badlen chaah ne aakhir ko meer
tha girah jo dard chaati mein so ab gham ho gaya
ख़त से वो ज़ोर सफ़ा-ए-हुस्न अब कम हो गया
चाह-ए-यूसुफ़ था ज़क़न सो चाह-ए-रुसतम हो गया
सीना-कोबी-ए-संग से दिल-ए-ख़ून होने में रही
हक़-ब-जानिब था हमारे सख़्त मातम हो गया
एक सा आलम नहीं रहता है उस आलम के बीच
अब जहाँ कोई नहीं याँ एक आलम हो गया
आँख के लड़ते तिरी आशोब सा बरपा हुआ
ज़ुल्फ़ के दिरहम हुए इक जम्अ' बरहम हो गया
उस लब-ए-जाँ-बख़्श की हसरत ने मारा जान से
आब-ए-हैवाँ यमन-ए-तालेअ' से मिरे सम हो गया
वक़्त तब तक था तो सज्दा मस्जिदों में कुफ़्र था
फ़ाएदा अब जब कि क़द मेहराब सा ख़म हो गया
इश्क़ उन शहरी ग़ज़ालों का जुनूँ को अब खिंचा
वहशत-ए-दिल बढ़ गई आराम-ए-जाँ रम हो गया
जी खिंचे जाते हैं फ़र्त-ए-शौक़ से आँखों की और
जिन ने देखा एक-दम उस को सो बे-दम हो गया
हम ने जो कुछ उस से देखा सो ख़िलाफ़-ए-चश्म-ए-दाशत
अपना इज़राईल वो जान मुजस्सम हो गया
क्या कहूँ क्या तरहें बदलें चाह ने आख़िर को 'मीर'
था गिरह जो दर्द छाती में सो अब ग़म हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Justaju Shayari Shayari