munh taka hi kare hai jis tis ka | मुँह तका ही करे है जिस तिस का - Meer Taqi Meer

munh taka hi kare hai jis tis ka
hairati hai ye aaina kis ka

shaam se kuch bujha sa rehta hoon
dil hua hai charaagh muflis ka

the bure mugbachon ke tevar lek
shaikh may-khaane se bhala khiska

daagh aankhon se khil rahe hain sab
haath dasta hua hai nargis ka

bahar kam-zarf hai basaan-e-habaab
kaasa-lais ab hua hai tu jis ka

faiz ai abr chashm-e-tar se utha
aaj daaman wasi'a hai is ka

taab kis ko jo haal-e-meer sune
haal hi aur kuch hai majlis ka

मुँह तका ही करे है जिस तिस का
हैरती है ये आईना किस का

शाम से कुछ बुझा सा रहता हूँ
दिल हुआ है चराग़ मुफ़्लिस का

थे बुरे मुग़्बचों के तेवर लेक
शैख़ मय-ख़ाने से भला खिसका

दाग़ आँखों से खिल रहे हैं सब
हाथ दस्ता हुआ है नर्गिस का

बहर कम-ज़र्फ़ है बसान-ए-हबाब
कासा-लैस अब हुआ है तू जिस का

फ़ैज़ ऐ अब्र चश्म-ए-तर से उठा
आज दामन वसीअ है इस का

ताब किस को जो हाल-ए-मीर सुने
हाल ही और कुछ है मज्लिस का

- Meer Taqi Meer
1 Like

Tevar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Tevar Shayari Shayari