kya kahein aatish-e-hijraan se gale jaate hain
chaatiyaan sulagen hain aisi ki jale jaate hain
gauhar-e-gosh kisoo ka nahin jee se jaata
aansu moti se mere munh pe dhale jaate hain
yahi masdood hai kuchh raah-e-wafa warna bahm
sab kahi naama o paighaam chale jaate hain
baar-e-hirmaan-o-gul-o-daag nahin apne saath
shajar-e-baag-e-wafa phoole fale jaate hain
hairat-e-ishq mein tasveer se rafta hi rahe
aise jaate hain jo ham bhi to bhale jaate hain
hijr ki koft jo kheeche hain unhin se poocho
dil diye jaate hain jee apne male jaate hain
yaad-e-qad mein tire aankhon se behen hain jue
gar kisoo baagh mein ham sarv tale jaate hain
dekhen pesh aave hai kya ishq mein ab to jun sail
ham bhi is raah mein sar gaade chale jaate hain
pur-gubaari-e-jahaan se nahin sudh meer hamein
gard itni hai ki mitti mein rule jaate hain
क्या कहें आतिश-ए-हिज्राँ से गले जाते हैं
छातियाँ सुलगें हैं ऐसी कि जले जाते हैं
गौहर-ए-गोश किसू का नहीं जी से जाता
आँसू मोती से मिरे मुँह पे ढले जाते हैं
यही मसदूद है कुछ राह-ए-वफ़ा वर्ना बहम
सब कहीं नामा ओ पैग़ाम चले जाते हैं
बार-ए-हिरमान-ओ-गुल-ओ-दाग़ नहीं अपने साथ
शजर-ए-बाग़-ए-वफ़ा फूले फले जाते हैं
हैरत-ए-इश्क़ में तस्वीर से रफ़्ता ही रहे
ऐसे जाते हैं जो हम भी तो भले जाते हैं
हिज्र की कोफ़्त जो खींचे हैं उन्हीं से पूछो
दिल दिए जाते हैं जी अपने मले जाते हैं
याद-ए-क़द में तिरे आँखों से बहें हैं जुएँ
गर किसू बाग़ में हम सर्व तले जाते हैं
देखें पेश आवे है क्या इश्क़ में अब तो जूँ सैल
हम भी इस राह में सर गाड़े चले जाते हैं
पुर-ग़ुबारी-ए-जहाँ से नहीं सुध 'मीर' हमें
गर्द इतनी है कि मिट्टी में रुले जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Hijrat Shayari Shayari