tiri abroo-o-tegh tez to ham-dam hain ye dono | तिरी अब्रू-ओ-तेग़ तेज़ तो हम-दम हैं ये दोनों

  - Meer Taqi Meer

tiri abroo-o-tegh tez to ham-dam hain ye dono
hue hain dil jigar bhi saamne rustam hain ye dono

na kuchh kaaghaz mein hai taane qalam ko dard naalon ka
likhoon kya ishq ke haalaat na-mahram hain ye dono

lahu aankhon se bahte waqt rakh leta hoon haathon ko
jaraahat hain agar ve dono to marham hain ye dono

kaso chashme pe dariya ke diya oopar nazar rakhiye
hamaare deeda-e-nam-deeda kya kuchh kam hain ye dono

lab jaan-bakhsh us ke maar hi rakhte hain aashiq ko
agarche aab-e-haiwaan hain wa lekin sam hain ye dono

nahin abroo hi maail jhuk rahi hai teg bhi idhar
hamaare kisht-o-khoon mein muttafiq baaham hain ye dono

khule seene ke daaghoon par thehar rahte hain kuchh aansu
chaman mein mehr-varzi ke gul-o-shabnam hain ye dono

kabhu dil rukne lagta hai jigar gahe tadpata hai
gham-e-hijraan mein chaati ke hamaari jam hain ye dono

khuda jaane ki duniya mein milen us se ki uqba mein
makaan to meer'-saahib shohra-e-aalam hain ye dono

तिरी अब्रू-ओ-तेग़ तेज़ तो हम-दम हैं ये दोनों
हुए हैं दिल जिगर भी सामने रुस्तम हैं ये दोनों

न कुछ काग़ज़ में है ताने क़लम को दर्द नालों का
लिखूँ क्या इश्क़ के हालात ना-महरम हैं ये दोनों

लहू आँखों से बहते वक़्त रख लेता हूँ हाथों को
जराहत हैं अगर वे दोनों तो मरहम हैं ये दोनों

कसो चश्मे पे दरिया के दिया ऊपर नज़र रखिए
हमारे दीदा-ए-नम-दीदा क्या कुछ कम हैं ये दोनों

लब जाँ-बख़्श उस के मार ही रखते हैं आशिक़ को
अगरचे आब-ए-हैवाँ हैं व लेकिन सम हैं ये दोनों

नहीं अबरू ही माइल झुक रही है तेग़ भी इधर
हमारे किश्त-ओ-ख़ूँ में मुत्तफ़िक़ बाहम हैं ये दोनों

खुले सीने के दाग़ों पर ठहर रहते हैं कुछ आँसू
चमन में महर-वरज़ी के गुल-ओ-शबनम हैं ये दोनों

कभू दिल रुकने लगता है जिगर गाहे तड़पता है
ग़म-ए-हिज्राँ में छाती के हमारी जम हैं ये दोनों

ख़ुदा जाने कि दुनिया में मिलें उस से कि उक़्बा में
मकाँ तो 'मीर'-साहिब शोहरा-ए-आलम हैं ये दोनों

  - Meer Taqi Meer

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari