dil gaye aafat aayi jaanon par
ye fasana raha zabaanon par
ishq mein hosh o sabr sunte the
rakh gaye haath so to kaanon par
garche insaan hain zameen se wale
hain dimaagh un ke aasmaanon par
shehar ke shokh saada-roo ladke
zulm karte hain kya jawaanon par
arsh o dil dono ka hai paaya buland
sair rahti hai un makaanon par
jab se bazaar mein hai tujh si mata
bheed hi rahti hai dukano par
log sar dene jaate hain kab se
yaar ke paanv ke nishaanon par
kajee obaash ki hai vo dar-band
dale firta hai band shaanon par
koi bola na qatl mein mere
mohr ki thi magar dahano par
yaad mein us ke saaq-e-seemin ki
de de maarun hoon haath raanon par
the zamaane mein kharchi jin ki roope
faansa karte hain un ko aano'n par
gham o gussa hai hisse mein mere
ab maiishat hai un hi khaanon par
qisse duniya mein meer bahut sune
na rakho gosh un fasaanon par
दिल गए आफ़त आई जानों पर
ये फ़साना रहा ज़बानों पर
इश्क़ में होश ओ सब्र सुनते थे
रख गए हाथ सो तो कानों पर
गरचे इंसान हैं ज़मीं से वले
हैं दिमाग़ उन के आसमानों पर
शहर के शोख़ सादा-रू लड़के
ज़ुल्म करते हैं क्या जवानों पर
अर्श ओ दिल दोनों का है पाया बुलंद
सैर रहती है उन मकानों पर
जब से बाज़ार में है तुझ सी मता
भीड़ ही रहती है दुकानों पर
लोग सर देने जाते हैं कब से
यार के पाँव के निशानों पर
कजी ओबाश की है वो दर-बंद
डाले फिरता है बंद शानों पर
कोई बोला न क़त्ल में मेरे
मोहर की थी मगर दहानों पर
याद में उस के साक़-ए-सीमीं की
दे दे मारूँ हूँ हाथ रानों पर
थे ज़माने में ख़र्ची जिन की रूपे
फाँसा करते हैं उन को आनों पर
ग़म ओ ग़ुस्सा है हिस्से में मेरे
अब मईशत है उन ही खानों पर
क़िस्से दुनिया में 'मीर' बहुत सुने
न रखो गोश उन फ़सानों पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Murder Shayari Shayari