jab ham-kalaam ham se hota hai paan kha kar | जब हम-कलाम हम से होता है पान खा कर

  - Meer Taqi Meer

jab ham-kalaam ham se hota hai paan kha kar
kis rang se kare hai baatein chaba chaba kar

thi jumlatan lataafat aalam mein jaan ke ham to
mitti mein at gaye hain is khaak-daan mein aa kar

sai o talab bahut ki matlab ke tai na pahunchen
naachaar ab jahaan se baithe hain haath utha kar

ghairat ye thi ki aaya us se jo main khafa ho
marte mua pe hargiz udhar fira na ja kar

qudrat khuda ki sab mein khalul-izaar aao
baitho jo mujh kane to parde mein munh chhupa kar

armaan hai jinhon ko ve ab karein mohabbat
ham to hue pasheemaan dil ke tai laga kar

main meer tark le kar duniya se haath uthaya
darvesh tu bhi to hai haq mein mere dua kar

जब हम-कलाम हम से होता है पान खा कर
किस रंग से करे है बातें चबा चबा कर

थी जुम्लातन लताफ़त आलम में जाँ के हम तो
मिट्टी में अट गए हैं इस ख़ाक-दाँ में आ कर

सई ओ तलब बहुत की मतलब के तईं न पहुँचे
नाचार अब जहाँ से बैठे हैं हाथ उठा कर

ग़ैरत ये थी कि आया उस से जो मैं ख़फ़ा हो
मरते मुआ पे हरगिज़ ऊधर फिरा न जा कर

क़ुदरत ख़ुदा की सब में ख़लउल-इज़ार आओ
बैठो जो मुझ कने तो पर्दे में मुँह छुपा कर

अरमान है जिन्हों को वे अब करें मोहब्बत
हम तो हुए पशीमाँ दिल के तईं लगा कर

मैं 'मीर' तर्क ले कर दुनिया से हाथ उठाया
दरवेश तू भी तो है हक़ में मिरे दुआ कर

  - Meer Taqi Meer

Aabroo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Aabroo Shayari Shayari