ye sara sone ki jagah nahin bedaar raho | ये सरा सोने की जगह नहीं बेदार रहो - Meer Taqi Meer

ye sara sone ki jagah nahin bedaar raho
hamne kara di hai khabar tumko khabardaar raho

laag agar dil ki nahin lutf nahin jeene mein
uljhe suljhe kisoo kaakul ke giriftaar raho

garche vo gauhre tar haath nahin lagta lek
dam mein dam jab tai hai uske talabgaar raho

sare bazaar jahaan ka hai yahi mol ai meer
jaan ko bech ke bhi dil ke khareedaar raho

ये सरा सोने की जगह नहीं बेदार रहो
हमनें करा दी है ख़बर तुमको ख़बरदार रहो

लाग अगर दिल की नहीं, लुत्फ़ नहीं जीने में
उलझे सुलझे किसू काकुल के गिरिफ़्तार रहो

गर्चे वो गौहरे तर हाथ नहीं लगता, लेक
दम में दम जब तईं है उसके तलबगार रहो

सरे बाज़ार जहाँ का है यही मोल ऐ 'मीर'
जान को बेच के भी दिल के खरीदार रहो

- Meer Taqi Meer
5 Likes

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari