gar kuchh ho dard aaina yun charkh-e-zisht mein | गर कुछ हो दर्द आईना यूँ चर्ख़-ए-ज़िश्त में - Meer Taqi Meer

gar kuchh ho dard aaina yun charkh-e-zisht mein
in sooraton ko sirf kare khaak-o-khisht mein

rakhta hai soz-e-ishq se dozakh mein roz-o-shab
le jaayega ye sokhta-dil kya behisht mein

aasooda kyoonke hoon main ki maanind-e-gard-baad
aawaargi tamaam hai meri sarishta mein

kab tak kharab saii-e-tawaaf-e-haram rahoon
dil ko utha ke baith rahoonga kunisht mein

maatam ke hoon zameen pe khirman to kya ajab
hota hai neel charkh ki us sabz kisht mein

sarmast ham hain aankhon ke dekhe se yaar ki
kab ye nasha hai dukhtar-e-raz tujh palisht mein

rindon ke tai hamesha malaamat kare hai tu
ajaaiyo na shaikh kahi hast-behisht mein

naame ko chaak kar ke kare nama-bar ko qatl
kya ye likha tha meer mari sar-navisht mein

गर कुछ हो दर्द आईना यूँ चर्ख़-ए-ज़िश्त में
इन सूरतों को सिर्फ़ करे ख़ाक-ओ-ख़िश्त में

रखता है सोज़-ए-इश्क़ से दोज़ख़ में रोज़-ओ-शब
ले जाएगा ये सोख़्ता-दिल क्या बहिश्त में

आसूदा क्यूँके हूँ मैं कि मानिंद-ए-गर्द-बाद
आवारगी तमाम है मेरी सरिश्त में

कब तक ख़राब सई-ए-तवाफ़-ए-हरम रहूँ
दिल को उठा के बैठ रहूँगा कुनिश्त में

मातम के हूँ ज़मीन पे ख़िर्मन तो क्या अजब
होता है नील चर्ख़ की उस सब्ज़ किश्त में

सरमस्त हम हैं आँखों के देखे से यार की
कब ये नशा है दुख़्तर-ए-रज़ तुझ पलिश्त में

रिंदों के तईं हमेशा मलामत करे है तू
आजाइयो न शैख़ कहीं हश्त-बहिश्त में

नामे को चाक कर के करे नामा-बर को क़त्ल
क्या ये लिखा था 'मीर' मरी सर-नविश्त में

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari