dehr bhi meer turfa-e-maqtl hai
jo hai so koi dam ko faisal hai
kasrat-e-gham se dil laga rukne
hazrat-e-dil mein aaj dangal hai
roz kahte hain chalne ko khooban
lekin ab tak to roz-e-awwal hai
chhod mat naqd waqt-e-nasiya par
aaj jo kuchh hai so kahaan kal hai
band ho tujh se ye khula na kabhu
dil hai ya khaana-e-muqaffal hai
seena-chaaki bhi kaam rakhti hai
yahi kar jab talak mo'attal hai
ab ke haathon mein shauq ke tere
daaman-e-baadiya ka aanchal hai
tak garebaan mein sar ko daal ke dekh
dil bhi kya laq-o-daqq jungle hai
hijr bais hai bad-gumaani ka
ghairat-e-ishq hai to kab kal hai
mar gaya kohkan isee gham mein
aankh ojhal pahaad ojhal hai
दहर भी 'मीर' तुर्फ़ा-ए-मक़्तल है
जो है सो कोई दम को फ़ैसल है
कसरत-ए-ग़म से दिल लगा रुकने
हज़रत-ए-दिल में आज दंगल है
रोज़ कहते हैं चलने को ख़ूबाँ
लेकिन अब तक तो रोज़-ए-अव्वल है
छोड़ मत नक़्द वक़्त-ए-नसिया पर
आज जो कुछ है सो कहाँ कल है
बंद हो तुझ से ये खुला न कभू
दिल है या ख़ाना-ए-मुक़फ़्फ़ल है
सीना-चाकी भी काम रखती है
यही कर जब तलक मोअ'त्तल है
अब के हाथों में शौक़ के तेरे
दामन-ए-बादिया का आँचल है
टक गरेबाँ में सर को डाल के देख
दिल भी क्या लक़-ओ-दक़ जंगल है
हिज्र बाइ'स है बद-गुमानी का
ग़ैरत-ए-इश्क़ है तो कब कल है
मर गया कोहकन इसी ग़म में
आँख ओझल पहाड़ ओझल है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Hijr Shayari Shayari