zakham jhele daagh bhi khaaye bahut
dil laga kar ham to pachhtaaye bahut
jab na tab jaagah se tum jaaya kiye
ham to apni or se aaye bahut
dair se soo-e-haram aaya na tuk
ham mizaaj apna idhar laaye bahut
phool gul shams o qamar saare hi the
par hamein in mein tumheen bhaaye bahut
gar bukaa is shor se shab ko hai to
rovenge sone ko ham-saaye bahut
vo jo nikla subh jaise aftaab
rashk se gul phool murjhaaye bahut
meer se poocha jo main aashiq ho tum
ho ke kuchh chupke se sharmaae bahut
ज़ख़्म झेले दाग़ भी खाए बहुत
दिल लगा कर हम तो पछताए बहुत
जब न तब जागह से तुम जाया किए
हम तो अपनी ओर से आए बहुत
दैर से सू-ए-हरम आया न टुक
हम मिज़ाज अपना इधर लाए बहुत
फूल गुल शम्स ओ क़मर सारे ही थे
पर हमें इन में तुम्हीं भाए बहुत
गर बुका इस शोर से शब को है तो
रोवेंगे सोने को हम-साए बहुत
वो जो निकला सुब्ह जैसे आफ़्ताब
रश्क से गुल फूल मुरझाए बहुत
'मीर' से पूछा जो मैं आशिक़ हो तुम
हो के कुछ चुपके से शरमाए बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Chaand Shayari Shayari