ye chashm aaina-daar-e-roo thi kasoo ki
nazar us taraf bhi kabhu thi kasoo ki
sehar paa-e-gul be-khudi ham ko aayi
ki us sust paimaan mein boo thi kasoo ki
ye sar-gashta jab tak raha is chaman mein
b-rang-e-saba justuju thi kasoo ki
na thehri tuk ik jaan bar-lab raseeda
hamein muddaa guftugoo thi kasoo ki
jalaya shab ik shola-e-dil ne ham ko
ki us tund sarkash mein khoo thi kasoo ki
na the tujh se naazuk mayaanaan-e-gulshan
bahut to kamar jaise moo thi kasoo ki
dam-e-marg dushwaar di jaan in ne
magar meer ko aarzoo thi kasoo ki
ये चश्म आईना-दार-ए-रू थी कसू की
नज़र उस तरफ़ भी कभू थी कसू की
सहर पा-ए-गुल बे-ख़ुदी हम को आई
कि उस सुस्त पैमाँ में बू थी कसू की
ये सर-गश्ता जब तक रहा इस चमन में
ब-रंग-ए-सबा जुस्तुजू थी कसू की
न ठहरी टुक इक जान बर-लब रसीदा
हमें मुद्दआ' गुफ़्तुगू थी कसू की
जलाया शब इक शो'ला-ए-दिल ने हम को
कि उस तुंद सरकश में ख़ू थी कसू की
न थे तुझ से नाज़ुक मयानान-ए-गुलशन
बहुत तो कमर जैसे मू थी कसू की
दम-ए-मर्ग दुश्वार दी जान इन ने
मगर 'मीर' को आरज़ू थी कसू की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Fantasy Shayari Shayari