taab maqdoor intizaar kiya
dil ne ab zor be-qaraar kiya
dushmani ham se ki zamaane ne
ki jafaakaar tujh sa yaar kiya
ye tawhahum ka kaarkhaana hai
yaa wahi hai jo e'tibaar kiya
ek naavak ne us ki mizgaan ke
taaer-e-sidra tak shikaar kiya
sad-rag-e-jaan ko taab de baaham
teri zulfon ka ek taar kiya
ham faqeeron se be-adaai kya
aan baithe jo tum ne pyaar kiya
sakht kaafir tha jin ne pehle meer
mazhab-e-ishq ikhtiyaar kiya
ता-ब मक़्दूर इंतिज़ार किया
दिल ने अब ज़ोर बे-क़रार किया
दुश्मनी हम से की ज़माने ने
कि जफ़ाकार तुझ सा यार किया
ये तवहहुम का कारख़ाना है
याँ वही है जो ए'तिबार किया
एक नावक ने उस की मिज़्गाँ के
ताएर-ए-सिदरा तक शिकार किया
सद-रग-ए-जाँ को ताब दे बाहम
तेरी ज़ुल्फ़ों का एक तार किया
हम फ़क़ीरों से बे-अदाई क्या
आन बैठे जो तुम ने प्यार किया
सख़्त काफ़िर था जिन ने पहले 'मीर'
मज़हब-ए-इश्क़ इख़्तियार किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Dost Shayari Shayari