hai ghazal meer ye shifaai ki | है ग़ज़ल 'मीर' ये 'शिफ़ाई' की

  - Meer Taqi Meer

hai ghazal meer ye shifaai ki
ham ne bhi tab'aazmaai ki

us ke ifa-e-ahd tak na jiye
umr ne ham se bewafaai ki

vasl ke din ki aarzoo hi rahi
shab na aakhir hui judaai ki

isee taqreeb us gali mein rahe
minnaten hain shikasta-paai ki

dil mein us shokh ke na ki taaseer
aah ne aah na-rasaai ki

kaasa-e-chashm le ke jun nargis
ham ne deedaar ki gadaai ki

zor o zar kuchh na tha to baar-e-'meer
kis bharose par aashnaai ki

है ग़ज़ल 'मीर' ये 'शिफ़ाई' की
हम ने भी तब्अ-आज़माई की

उस के ईफ़ा-ए-अहद तक न जिए
उम्र ने हम से बेवफ़ाई की

वस्ल के दिन की आरज़ू ही रही
शब न आख़िर हुई जुदाई की

इसी तक़रीब उस गली में रहे
मिन्नतें हैं शिकस्ता-पाई की

दिल में उस शोख़ के न की तासीर
आह ने आह ना-रसाई की

कासा-ए-चश्म ले के जूँ नर्गिस
हम ने दीदार की गदाई की

ज़ोर ओ ज़र कुछ न था तो बार-ए-'मीर'
किस भरोसे पर आश्नाई की

  - Meer Taqi Meer

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari