ab aankhon mein khun dam-b-dam dekhte hain
na poocho jo kuchh rang ham dekhte hain
jo be-akhtiyaari yahi hai to qaasid
humeen aa ke us ke qadam dekhte hain
gahe daagh rehta hai dil ga jigar khun
un aankhon se kya kya sitam dekhte hain
agar jaan aankhon mein us bin hai to ham
abhi aur bhi koi dam dekhte hain
likhen haal kya us ko hairat se ham to
gahe kaaghaz o gah qalam dekhte hain
wafa-peshgi qais tak thi bhi kuchh kuchh
ab us taur ke log kam dekhte hain
kahaan tak bhala rooge meer'-saahib
ab aankhon ke gird ik varm dekhte hain
अब आँखों में ख़ूँ दम-ब-दम देखते हैं
न पूछो जो कुछ रंग हम देखते हैं
जो बे-अख़्तियारी यही है तो क़ासिद
हमीं आ के उस के क़दम देखते हैं
गहे दाग़ रहता है दिल गा जिगर ख़ूँ
उन आँखों से क्या क्या सितम देखते हैं
अगर जान आँखों में उस बिन है तो हम
अभी और भी कोई दम देखते हैं
लिखें हाल क्या उस को हैरत से हम तो
गहे काग़ज़ ओ गह क़लम देखते हैं
वफ़ा-पेशगी क़ैस तक थी भी कुछ कुछ
अब उस तौर के लोग कम देखते हैं
कहाँ तक भला रोओगे 'मीर'-साहिब
अब आँखों के गिर्द इक वरम देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Diversity Shayari Shayari