boo ki ho soo-e-baagh nikle hai | बू कि हो सू-ए-बाग़ निकले है - Meer Taqi Meer

boo ki ho soo-e-baagh nikle hai
baav se ik dimaagh nikle hai

hai jo andher shehar mein khurshid
din ko le kar charaagh nikle hai

chob-kaari hi se rahega shaikh
ab to le kar chumaagh nikle hai

de hai jumbish jo waan ki khaak ko baav
jigar daagh daagh nikle hai

har sehar haadisa meri khaatir
bhar ke khun ka ayaagh nikle hai

us gali ki zameen-e-tafta se
dil-jalon ka suraagh nikle hai

shaayad us zulf se lagi hai meer
baav mein ik dimaagh nikle hai

बू कि हो सू-ए-बाग़ निकले है
बाव से इक दिमाग़ निकले है

है जो अंधेर शहर में ख़ुर्शीद
दिन को ले कर चराग़ निकले है

चोब-कारी ही से रहेगा शैख़
अब तो ले कर चुमाग़ निकले है

दे है जुम्बिश जो वाँ की ख़ाक को बाव
जिगर दाग़ दाग़ निकले है

हर सहर हादिसा मिरी ख़ातिर
भर के ख़ूँ का अयाग़ निकले है

उस गली की ज़मीन-ए-तफ़्ता से
दिल-जलों का सुराग़ निकले है

शायद उस ज़ुल्फ़ से लगी है 'मीर'
बाव में इक दिमाग़ निकले है

- Meer Taqi Meer
1 Like

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari