yaad-e-ayyaam ki yaa tark-e-shakebaai tha | याद-ए-अय्याम कि याँ तर्क-ए-शकेबाई था

  - Meer Taqi Meer

yaad-e-ayyaam ki yaa tark-e-shakebaai tha
har gali shehar ki yaa koocha-e-ruswaai tha

itni guzri jo tire hijr mein so us ke sabab
sabr marhoom ajab monis-e-tanhaai tha

tere jalwe ka magar roo tha sahar-e-gulshan mein
nargis ik deeda-e-hairaana tamaashaai tha

yahi zulfon ki tiri baat thi ya kaakul ki
meer ko khoob kiya sair to saudaai tha

याद-ए-अय्याम कि याँ तर्क-ए-शकेबाई था
हर गली शहर की याँ कूचा-ए-रुस्वाई था

इतनी गुज़री जो तिरे हिज्र में सो उस के सबब
सब्र मरहूम अजब मोनिस-ए-तन्हाई था

तेरे जल्वे का मगर रू था सहर-ए-गुलशन में
नर्गिस इक दीदा-ए-हैरान तमाशाई था

यही ज़ुल्फ़ों की तिरी बात थी या काकुल की
'मीर' को ख़ूब किया सैर तो सौदाई था

  - Meer Taqi Meer

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari