khoob-roo sab ki jaan hote hain
aarzoo-e-jahaan hote hain
gosh-e-deewar tak tu ja naale
us mein gul ko bhi kaan hote hain
kabhu aate hain aap mein tujh bin
ghar mein ham mehmaan hote hain
dasht ke phoote maqbaro'n pe na ja
rooze sab gulistaan hote hain
harf-e-talkh un ke kya kahoon main garz
khoob-roo bad-zabaan hote hain
ghamza-e-chashm khush-qadaan-e-zameen
fitna-e-aasmaan hote hain
kya raha hai mushaaire mein ab
log kuchh jam'a aan hote hain
meer'-o-'mirza-rafi wa khwaaja-meer
kitne ik ye jawaan hote hain
ख़ूब-रू सब की जान होते हैं
आरज़ू-ए-जहान होते हैं
गोश-ए-दीवार तक तू जा नाले
उस में गुल को भी कान होते हैं
कभू आते हैं आप में तुझ बिन
घर में हम मेहमान होते हैं
दश्त के फूटे मक़बरों पे न जा
रौज़े सब गुलिस्ताँ होते हैं
हर्फ़-ए-तल्ख़ उन के क्या कहूँ मैं ग़रज़
ख़ूब-रू बद-ज़बान होते हैं
ग़म्ज़ा-ए-चश्म ख़ुश-क़दान-ए-ज़मीं
फ़ित्ना-ए-आसमान होते हैं
क्या रहा है मुशाएरे में अब
लोग कुछ जम्अ' आन होते हैं
'मीर'-ओ-'मिर्ज़ा-रफ़ी' व 'ख़्वाजा-मीर'
कितने इक ये जवान होते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Shaheed Shayari Shayari