duzdeeda nigaah karna phir aankh milaana bhi | दुज़्दीदा निगह करना फिर आँख मिलाना भी

  - Meer Taqi Meer

duzdeeda nigaah karna phir aankh milaana bhi
is lautte daaman ko paas aa ke uthaana bhi

paamali-e-aashiq ko manzoor rakhe jaana
phir chaal kadhab chalna thokar na lagana bhi

burqa ko utha dena par aadhe hi chehre se
kya munh ko chhupaana bhi kuchh jhamki dikhaana bhi

dekh aankhen meri neechi ik maarna patthar bhi
zaahir mein sataana bhi parde mein jataana bhi

sohbat hai ye waisi hi ai jaan ki aasaaish
saath aan ke sona bhi phir munh ko chhupaana bhi

दुज़्दीदा निगह करना फिर आँख मिलाना भी
इस लौटते दामन को पास आ के उठाना भी

पामाली-ए-आशिक़ को मंज़ूर रखे जाना
फिर चाल कढब चलना ठोकर न लगाना भी

बुर्क़ा को उठा देना पर आधे ही चेहरे से
क्या मुँह को छुपाना भी कुछ झमकी दिखाना भी

देख आँखें मिरी नीची इक मारना पत्थर भी
ज़ाहिर में सताना भी पर्दे में जताना भी

सोहबत है ये वैसी ही ऐ जान की आसाइश
साथ आन के सोना भी फिर मुँह को छुपाना भी

  - Meer Taqi Meer

Tevar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Tevar Shayari Shayari