kab talak jee ruke khafa hove | कब तलक जी रुके ख़फ़ा होवे

  - Meer Taqi Meer

kab talak jee ruke khafa hove
aah kariye ki tak hawa hove

jee thehar jaaye ya hawa hove
dekhiye hote hote kya hove

kar namak sood seena-e-majrooh
jee mein gar hai ki kuchh maza hove

kaahish-e-dil ki kijie tadbeer
jaan mein kuchh bhi jo raha hove

chup ka bais hai be-tamannaai
kahiye kuchh bhi to muddaa hove

bekli maare daalti hai naseem
dekhiye ab ke saal kya hove

mar gaye ham to mar gaye to jee
dil-girfta tiri bala hove

ishq kiya hai durust ai naaseh
jaane vo jis ka dil-laga hove

phir na shaitan sujood-e-aadam se
shaayad us parde mein khuda hove

na suna raat ham ne ik naala
ghaliban meer mar raha hove

कब तलक जी रुके ख़फ़ा होवे
आह करिए कि टक हवा होवे

जी ठहर जाए या हवा होवे
देखिए होते होते क्या होवे

कर नमक सूद सीना-ए-मजरूह
जी में गर है कि कुछ मज़ा होवे

काहिश-ए-दिल की कीजिए तदबीर
जान में कुछ भी जो रहा होवे

चुप का बाइ'स है बे-तमन्नाई
कहिए कुछ भी तो मुद्दआ' होवे

बेकली मारे डालती है नसीम
देखिए अब के साल क्या होवे

मर गए हम तो मर गए तो जी
दिल-गिरफ़्ता तिरी बला होवे

इश्क़ किया है दुरुस्त ऐ नासेह
जाने वो जिस का दिल-लगा होवे

फिर न शैताँ सुजूद-ए-आदम से
शायद उस पर्दे में ख़ुदा होवे

न सुना रात हम ने इक नाला
ग़ालिबन 'मीर' मर रहा होवे

  - Meer Taqi Meer

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari