kya bulbul aseer hai be-baal-o-par ki ham | क्या बुलबुल असीर है बे-बाल-ओ-पर कि हम

  - Meer Taqi Meer

kya bulbul aseer hai be-baal-o-par ki ham
gul kab rakhe hai tukde jigar is qadar ki ham

khurshid subh nikle hai is noor se ki to
shabnam girah mein rakhti hai ye chashm-e-tar ki ham

jeete hain to dikha denge daava-e-andaleeb
gul bin khizaan mein ab ke vo rahti hai mar ki ham

ye teg hai ye tasht hai ye ham hain kushtani
khele hai kaun aisi tarah jaan par ki ham

talwaarein tum lagaate ho ham hainge dam-b-khud
duniya mein ye kare hai koi darguzar ki ham

is justuju mein aur kharaabi to kya kahein
itni nahin hui hai saba dar-b-dar ki ham

jab ja phansa kahi to hamein yaa hui khabar
rakhta hai kaun dil tiri itni khabar ki ham

jeete hain aur rote hain lakht-e-jigar hai meer
karte suna hai yun koi qeema jigar ki ham

क्या बुलबुल असीर है बे-बाल-ओ-पर कि हम
गुल कब रखे है टुकड़े जिगर इस क़दर कि हम

ख़ुर्शीद सुब्ह निकले है इस नूर से कि तो
शबनम गिरह में रखती है ये चश्म-ए-तर कि हम

जीते हैं तो दिखा देंगे दावा-ए-अंदलीब
गुल बिन ख़िज़ाँ में अब के वो रहती है मर कि हम

ये तेग़ है ये तश्त है ये हम हैं कुश्तनी
खेले है कौन ऐसी तरह जान पर कि हम

तलवारें तुम लगाते हो हम हैंगे दम-ब-ख़ुद
दुनिया में ये करे है कोई दरगुज़र कि हम

इस जुस्तुजू में और ख़राबी तो क्या कहें
इतनी नहीं हुई है सबा दर-ब-दर कि हम

जब जा फँसा कहीं तो हमें याँ हुई ख़बर
रखता है कौन दिल तिरी इतनी ख़बर कि हम

जीते हैं और रोते हैं लख़्त-ए-जिगर है 'मीर'
करते सुना है यूँ कोई क़ीमा जिगर कि हम

  - Meer Taqi Meer

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari