kya kahein apni us ki shab ki baat | क्या कहें अपनी उस की शब की बात

  - Meer Taqi Meer

kya kahein apni us ki shab ki baat
kahiye hove jo kuchh bhi dhab ki baat

ab to chup lag gai hai hairat se
phir khulegi zabaan jab ki baat

nukta-daanan-e-rafta ki na kaho
baat vo hai jo hove ab ki baat

kis ka roo-e-sukhan nahin hai udhar
hai nazar mein hamaari sab ki baat

zulm hai qahar hai qayamat hai
gusse mein us ke zer-e-lab ki baat

kahte hain aage tha buton mein rehm
hai khuda jaaniye ye kab ki baat

go ki aatish-zabaan the aage meer
ab ki kahiye gai vo tab ki baat

क्या कहें अपनी उस की शब की बात
कहिए होवे जो कुछ भी ढब की बात

अब तो चुप लग गई है हैरत से
फिर खुलेगी ज़बान जब की बात

नुक्ता-दानान-ए-रफ़्ता की न कहो
बात वो है जो होवे अब की बात

किस का रू-ए-सुख़न नहीं है उधर
है नज़र में हमारी सब की बात

ज़ुल्म है क़हर है क़यामत है
ग़ुस्से में उस के ज़ेर-ए-लब की बात

कहते हैं आगे था बुतों में रहम
है ख़ुदा जानिए ये कब की बात

गो कि आतिश-ज़बाँ थे आगे 'मीर'
अब की कहिए गई वो तब की बात

  - Meer Taqi Meer

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari