be-kasaana jee giriftaari se shevan mein raha | बे-कसाना जी गिरफ़्तारी से शेवन में रहा

  - Meer Taqi Meer

be-kasaana jee giriftaari se shevan mein raha
ik dil gham-khwaar rakhte the so gulshan mein raha

panja-e-gul ki tarah deewaangi mein haath ko
gar nikala mein garebaan se to daaman mein raha

sham'a saan jalte rahe lekin na toda yaar se
rishta-e-ulfat tamaami umr gardan mein raha

dar se us shamsher-zan ke jauhar aaina saan
sar se le kar paanv tak main ghark aahan mein raha

ham na kahte the ki mat dair-o-haram ki raah chal
ab ye da'wa hashr tak shaikh-o-barhaman mein raha

darpay dil hi rahe us chehre ke khaal-e-siyaah
dar hamein un chonton ka roz-e-raushan mein raha

aah kis andaaz se guzra biyaabaan se ki meer
jee har ik nakhchir ka us said-e-afgan mein raha

बे-कसाना जी गिरफ़्तारी से शेवन में रहा
इक दिल ग़म-ख़्वार रखते थे सो गुलशन में रहा

पंजा-ए-गुल की तरह दीवानगी में हाथ को
गर निकाला में गरेबाँ से तो दामन में रहा

शम्अ' साँ जलते रहे लेकिन न तोड़ा यार से
रिश्ता-ए-उलफ़त तमामी उम्र गर्दन में रहा

डर से उस शमशीर-ज़न के जौहर आईना साँ
सर से ले कर पाँव तक मैं ग़र्क़ आहन में रहा

हम न कहते थे कि मत दैर-ओ-हरम की राह चल
अब ये दा'वा हश्र तक शैख़-ओ-बरहमन में रहा

दरपय दिल ही रहे उस चेहरे के ख़ाल-ए-सियाह
डर हमें उन चोंटों का रोज़-ए-रौशन में रहा

आह किस अंदाज़ से गुज़रा बयाबाँ से कि 'मीर'
जी हर इक नख़चीर का उस सैद-ए-अफ़्गन में रहा

  - Meer Taqi Meer

Afsos Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Afsos Shayari Shayari